Quran Majeed Ke 40 Paaro Ki Kya Haqiqat Hai ?

SAWAL : Ahle Sunnat Ke Nazdeek 40 Paaro Ki Kya Haqiqat Hai?  Mene Kuchh Logo Se Suna Hai Quran Ke Alawa 10 Pare Our Hai ?‎

Qura'an Majeed Jo Aaj Hamare Paas Kitabi Shakl Me Maujud He Waisa Hi Huzur ﷺ Ki Hayate Mubaraka Me Tha.. Isme Koi Kami Beshi Nahiñ Ki Gai.. 

Jo Shakhs Ye Aqeedah Rakhta He Ki Huzur ﷺ Ki Hayaate Mubaraka Me Chalis (40) Paare The Or Baad Me 10 Kam Kar Diye Gaye Hai.. Aysa Aqeedah Rakhne Wala Kafiro Murtad Islam Se Kharij He.. 

Allah Ta'ala Ne Qura'an Majeed Ki Hifazaf Ki Khud Zimma Daari Li He,

Jaisa Ki Qura'an Majeed Me He,

إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ

Beshak Hamne Utara He Ye Qura'an Or Beshak Ham Khud Iske Nigehbaan.

📚(Surah Hijr, Surah-15, Aayat-9)

Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,

Qura'an Azeem Ki Hifazat Allah Azzawajal Ne Apne Zimma Rakhi,

Farmata He,

إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ

Beshak Hamne Qura'an Utara Or Beshak Ham Uske Zaroor Nigehbaan Hai.

Lihaza Isme Kisi Harf Ya Nuqta Ki Kami Beshi Muhaal He, Agarche Tamam Dunya Iske Badalne Par Jama'a Ho jaye To Jo Ye Kahe Ki Isme Kuchh Paare Ya Soorteñ Ya Aayateñ Balki Ek Harf Bhi Kisi Ne Kam Kar Diya, Ya Barha Diya, Ya Badal Diya Qat'an Kafir He Ki Usne Is Aayat Ka Inkaar Kiya Jo Hamne Abhi Likhi.

*📚(Bahare Shariyat, H-1, Aqaaid Muta'alliqa Nabuwwat, Mas'ala-7)*

Lihaza Qura'an Majeed Jaise Naazil Huva Tha Waise Hi Aaj Maujud He Or Qayamat Tak Aysa Hi Rahega Isme Tahreef Na Hui He Or Na Kabhi Hogi.. Kyuñ Ki Iski Hifazat Khud Allah Ta'ala Ne Apne Zimma Rakhi He.. Qura'an Majeed Me Tahreef Ka Qaail Musalman Hi Nahiñ. Aysa Shakhs Kafiro Murtad He. 

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

No comments