ZAKAT KE HISAB KA TARIKA
ZAKAT KA NISAB:
Zakat farz hone ke liye hajate asliya (wo saman jiske bagair guzara mushkil ho jaise ghar, libas etc..,) ke alawa 7.5 tola sona (gold) ho ya 52.5tola chandi (silver) ho ya 52.5tola chandi ki qeemat barabar paisa ya samane tijarat ho. Jab inpar saal guzar jaye toh zakat dena wajib hojayega.
ZAKAT KE HISAB KA TARIKA:
Zakat un tamam maal ko jama karke usper 2.5% nikalna hota hai.. Asaan lafz me tamam qeemat ka 40wa hissa zakat hai.
Zakat Formula= Total Amount÷40
Example:
Gold, silver aur cash ki qeemat 1,00,000/- hai tho ab iski zakat ye hogi
1,00,000÷40 =Rs. 2500 zakat banegi.
Agar 2 lac hai tho
2,00,000÷40 =Rs. 5000
Agar 3lac hai toh
3,00,000÷40=Rs. 7500
So on...
(📚Fatwae Ahlesunnat Ahkame Zakat)
Post a Comment