Janaze Ko Samne Rakh Kar Salam Padhna Kaisa Hai ?
Janaze Ko Samne Rakh Kar Salam Padhna Kaisa Hai ?
Janaza Ke Sath Salaato Salam Padhna Jaaiz He Or Iska Saboot Nasse Qataee Se Sabit He.
Jaisa Ki Irshade Baari Ta'ala Huva,
" یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا صَلُّوْا عَلَیْهِ وَ سَلِّمُوْا تَسْلِیْمًا "
📚(Surah Ahzaab, Aayat-56)
Mazkoora Aayate Durood Kisi Khas Waqt Ke Sath Muqeed Nahiñ Balki Allah Rabbul Izzat Ka Farmaan Mutlaq He To Banda E Mo'amin Jab Bhi (Chahe Azaan Se Pahle Ho Ya Azan Ke Baad, Takbeer Se Pahle, Dua Se Pahle Ya Dua Ke Baad Uthte Bethte Sote Jagte) Apne Aaqa Huzur ﷺ Ki Bargaah Me Salaato Salam Padhta He To Allah Ke Hukm Ki Ta'ameel Karta He Or Ajro Sawab Ka Mustahiq Hota He..
Lihaza Salaato Salam Padhne Ke Liye Koi Muta'ayyin Waqt Ki Qaid Nahiñ To Ab Koi Janaza Ke Saamne Padhe Ya Janaza Ke Sath Sath Padhte Jaayeñ Jaaiz Bhi He Or Baaise Sawab Bhi..
Or Huzur Sayyedi Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai Ki,
Janaza Ke Sath Naatiya Kalaam Padhna Jaaiz He.
📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-4, S-97)
Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai Ki Janaza Ke Sath Dunya Ki Fuzool Baateñ Na Kareñ Or Na Hansi Mazaq Kareñ Balki Mout W Ahwaale Qabr Ko Peshe Nazar Rakheñ..
Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Radiallahu Anhu Ne Ek Shakhs Ko Janaza Ke Sath Hanste Huve Dekha Farmaya Tu Janaza Me Hansta He Me Tujhse Kabhi Kalaam Na Karuñga.
📚(Bahare Shariyat, H-4, S-145)
Lihaza Salaato Salam Padhne Ki Koi Qaid Nahiñ To Ab Koi Janaza Samne Rakh Kar Bhi Salaato Salam Padhe Tab Bhi Jaaizo Baaise Sawab He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
Al-Jawab: Hazrat Maulana Shahabuddin Misbahi Sahab
Darul Uloom Shahe Aalam Ahemdabad Gujarat
Post a Comment