Islam Me Bachcha Godh Dena Kaisa hai?

Kisi be Aulaad ko apna bachcha godh Dena kaisa hai. sariyat me iska Kya sawab azer hukum hai:

Bacha god lene ke apne ahkam he. Bahtar ye he ki ayyame raza'at me hi yani doodh pine ki umr (2 saal) tak bachche ko goud le liya jaaye aur goud lene wali aurat usse dudh pila de taaki bacha mahram ho jaye. 2.5 saal tak bhi agar doodh pi liya to raza'at sabit ho jayegi lekin 2 sal ke baad dudh pilana jaiz nahi he. 

Aur agar bachche ko doodh nahi pilaya ki raza'at ka waqt khatm ho gaya to ab Goud lene par bacha na mahram rahega. Aur parde ke aur digar ahkam bhi laagu honge.

No comments