1st Muharram Shahadate UMAR FAROOQ RaziAllahu anhu

1st Muharram Shahadate UMAR FAROOQ RaziAllahu anhu

Hazrat Abu Bakr Siddiq raziAllahu anhu ke baad Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu Khalifa bane. Aapki kuniyat "Abu Hafs" aur laqab "Farooqe Azam" hai. Aapne 10 saal aur kuch mahino tak khalifa rahe. Hazrat Umar Farooq ki shahadat 1st muharram 24hijri ko hui. Aapki umr 63 baras thi.

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ke daur me islam Sabse ziyada Faila, 22 lakh murabba (5 crore acre+) par aapki hukumat thi.

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ke daur me army system, courts, jails etc.., sahi taur se shuru hue the.

-------------------------------------------------

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu Ka Islam Qubool Karna:

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu , 39 mardo ke islam laane ke baad NABI sallallahu alaihi wasallam ki duao se aylane nabuwwat ke 6th saal islam qubool kiye.

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ke islam laane ke baad hi aylaniya namaz ada ki jane lagi kyuki shuru islam me log tang kartey the isliye chupkar namaz padi jati thi.

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ke bahot karamaat hai jisme ye ek ziyada mashoor hai. Jab Misr (Egypt) fateh hua tho misr ke logo ne hazrat Amr bin aas raziAllahu anhu ko bataya ke yaha ek rasam hai jabtak wo ada na ki jaye yaha darya (river) me pani nahi baheta. Wo ye thi ke pahle waha ke log daryae neel (river nile) me ek kunwari ladki ko ache libaas aur zewar pahenakar darya me dal dete the jisse darya me pani shuru hojata tha. Ye sunkar Hazrat Amr bin aas raziAllahu anhu ne farmaya

"Islam me aisa hargiz nahi hosakta aur islam aisi purani wahiyaat rasmo ko mitata hai". Aur aapne ye rasm ko rok di, iske baad darya me pani kam hota gaya,ye dekhkar logo ne waha se chale jane ka irada kiya ke pani ki kami horahi thi. Ye sab dekhkar hazrat Amr bin Aas raziAllahu anhu ne Hazrat Umar farooq RaziAllahu anhu ko ek khat (letter) likhkar ye tamam waqya bayan kiya.

Hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ne jawab likha ke

"Tumne thik kiya ke islam aisi rasmo ko mitata hai, mere is khath (letter) me ek ruqa'h hai tum isko darya me daal dena"

Jab Hazrat Amr bin aas raziAllah ko wo khat mila aur aapne us ruqa'h ko kholkar dekha tho usme likha tha

"Aye daryae neel, agar tu apne aapse jaari hoti hai tho mat jaari ho aur agar ALLAH ne tujhe jaari farmaya hai tho mai ALLAH ta'ala se arz karta hu ke tujhe jaari farma de."

Hazrat Amr bin aas raziAllah ne ye ruqa'h daryae neel me dala tho ek raat me hi 16 ghaz pani bhar gaya aur is tarah aurto ko darya me daalne ki rasm bhi khatam hogayi.

(📚Al Azmah li abi sheikh al asbahani, page-318)

Allah ki unpe rahmat ho aur unke saqde hamari maghfirat ho.

3 baar sureh ikhlas padkar esale sawab kardein.

No comments