जानदार की तस्वीर वाले खिलौने का मसला || Ghar Me Jandar ki Tasweer Wale Toys Ya Teddy Bear Rakhna Kaisa?

Ghar Me Jandar ki Tasveer Wale Toys Ya Teddy Bear Rakhna Kaisa? 

Teddy Bear Ya Bachchoñ Ke Khelne Ke Liye Jaandaar Ki Tasweer Wale Khilono Ko Tazeem Ke Sath Almaari Wagairah Me Saja Kar Rakhna Najaaizo Gunah Or Dukhule Malaaik Ko Maane'a Hai.

Bachchoñ Ka Unse Khelna Or Baad Unko Ahaanat Ki Jagah Rakhna Ya Makan Me Idhar Udhar Farsh Par Pade Hona Mana'a Nahiñ He, Ki Ye Najaaiz W Haraam Ke Hukm Me Na Hoga... Ayse Khilone Bachchoñ Ko Denaa Najaaiz Nahiñ, Magar Bachna Bahetar...

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki,

Bachchoñ Ko Khelne Ke Liye Janadaar Ki Tasweer Wale Khilone Dena Kesa Jiske Jawab Me Aapne Farmaya "Na Chahiye"...

http://jamiaturraza.com/session/27June10/22.mp3

Yaani Bachna Bahetar... Lekin Ye Tasweer Ki Tarah Haram Ke Hukm Me Na Hoga Ki Tasweer Ka Haram Hona Bar Bina E Tazeem He Or Khilono Me Tazeem Maqsood Nahiñ Hoti.. Balki Bachche Bataure Khel Apne Paas Rakhte He Lihaza Iske Haram Hone Ki Illat Isme Na Paai Jayegi...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,

In Khilonoñ Ka Bachchoñ Ko Khelne Ke Liye Dena Or Bachchoñ Ka Unse Khelna Ye Najaaiz Nahiñ Ki Tasweer Ka Barwajhe Aezaaz Makan Me Rakhna Mana'a He Na Ki Mutlaqan Ya Barwajhe Ahaanat Bhi.

Or Farmate Hai,

Balki Hadeesoñ Se Sabit He Ki, Ummul Mo'amineen Hazrate Aaisha Siddiqa Radiallahu Anha Ke Paas Gudiyañ Thi Or Vo Unse Khelti Bhi Thi Balki Ek Gudiya Ghode Ki Shakl Ki Thi Jiske Baazu Bana Rakhe The, Aala Hazrat Alaihir Rahma Se Unki Kharidari Ke Muta'alliq Suna Mujhe Yaad Nahiñ He Khelne Ki Nisbat Yaad He Ki Bachchoñ Ko Khelne Ke Liye Khilone Dena Jaaiz He.

📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-233)

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

No comments