Koi Nafl Roze Rakhne Ka Aadi Tha To Wo 30 Shaban ko Bhi Nafl Roza Rakh Sakta Hai


Koi Nafl Roze rakhne Ka aadi tha to Woh 30 Shaban ko bhi nafl Roza Rakh Sakta hai

HADEES: Huzoor صلى الله عليه وسلم ne farmaya mahe Ramzan se ek do din pehle Roza na rakha Karo, magar Woh jo nafl rozon Ka aadi tha to woh nafl Roza Rakh Sakta hai 

(REFERENCE: nasayi-2910 )

EXPLANATION:

Is hadees se pata Chala 

1. Jo mamooli tour par nafl roze rakhte the ... Woh usi tarz par 30 Shaban ko bhi nafl Roza Rakh sakte Hain. 

2. Ye nafl Roza Shak wale roze jaisa Nahi hai, q k isme irada saaf saaf nafil Ka hota hai. Jabke Shak wale roze me irada Farz Aur nafl k beech mutazabab hota hai.

NOTE: Farz k liye irada sareeh shaffaf Hona Chahiye Bagair Kisi Shak k ...

No comments