Asar ki Namaz ka waqt kab tak rehta hai

Sawal Asar ki namaz padte waqt magrib ki azaan hone lagi aisi surat me Kya namaz fir se padni hogi kaza or aser ka waqt kab tak rehta hai.

Jawab Agar asar ki namaz asar ke waqt me shuroo ki thi yani takbire tahrima asar ke waqt me kah di thi to namaz ho jayegi. 

Albatta asar ke time me akhri 20 minutes makruh waqt he. Janbujh kr itni takhir krna ki makruh waqt shuroo ho jaaye ye najaiz o gunah he.

Namaze fajr aur Jumma/eidain ki namaz ye namaz aisi he jisse waqt me shuroo krna aur waqt me khatam karna zaroori he. 

واللہ اعلم ورسولہ بالصواب

No comments