SAWAL : Kya Chamde Ka Belt Ya Rubber Ke Belt Ko Phen Kar Namaz Padhe To Namaz Hogi Ya Nhi..?


SAWAL:-

As Salamu Alaikum..

Kya Chamde Ka Belt Ya Rubber Ke Belt Ko Phen Kar Namaz Padhe To Namaz Hogi Ya Nhi..?


JAWAB:-

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khinzir (Suwwar) Or Insan Ke Alawa Dusre Kisi Bhi Janwar Ke Chamde Ka Belt Pahan Kar Namaz Padhna Jaiz He, Isi Tarah Rexin, Rabar, Ya Leather Ka Belt Pahanna Bhi Jaiz He, Jab Ki Usme Koi Najasat Na Ho.

Or Janwar Ke Vo Chamde Jise Sharai Taur Par Zabah Kiya Gaya Ho Vo Paak He Or Murdar Janwar Ke Chamde Ko Dabagat Dene Ke Baad Paak Ho Jayege Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Durust He, Magar Insan Or Khinzir Ka Chamda Dabagat Dene Se Bhi Paak Na Hoga, Use Pahanna Jaiz Nahi Or Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Durust Nahi.


Jaisa Ki Sharah Waqaya Me He,

وکل اھاب دبغ فقد طھر

Yaani Har Vo Chamda Jisko  Dabagat De Diya Gaya Vo Paak He.

 الا جلد الخنزیر والادمی

Magar Khinzir Or Aadmi Ka Chamda


Khinzir Najisul Ayn Hone Ki Wajah Se Or Aadmi Mukrram Yaani Ashraful Makhluqat Hone Ki Wajah Se


Dabagat Ka Matlab Ye He Ki Chamde Ki Badboo Or Gandagi Ko Door Kar Diya Jaaye Dawai Ya Dhoop Wagairah Ke Zariye.

ان الدباغۃ ہی ازالۃ النتن والرطوبآت النجسۃ من الجلد فان کانت بالادویۃ کالقرظ الخ..

▪️( Sharah Waqaya, J-1, Kitabut Taharat)


Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Se Sawal Hua Ki Kamar Me Patta Bandh Kar Namaz Padhna Durust He Ya Nahi To Aap Farmate He,

Durust He Magar Daman Uske Niche Na Dabe.

▪️(Fatawa Razviya, J-7, S-385)


Or Hidaya Awwalin Me He,

 کل اھاب د بغ فقد طھر جازت الصلوة فیه و الوضوء منه الا جلد الخنزیر و الاد می "

Yaani Har Kachchi Khal Jis Ki Dabagat Di Gai Vo Paak Ho Gai Us Me Namaz Padhna Or Usse Wuzu Karna Jaaiz He Siwaye Khinzir Or Aadmi Ki Khal Ke.

▪️(Hidaya Awwalin, Safa-24)


Or Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,


Soowar Ke Siwa Har Murdar Janwar Ki Khal sukhane Se Paak Ho Jati He Khwañ Usko Khari Namak Wagairah Kisi Dawa Se Pakaya Ho Ya Faqat Dhoop Ya Hawa Me Sukha Liya Ho Or Us Ki Tamam Ratoobat Fana Ho Kar Badboo Jaati Rahi Ho Ki Dono Soorto Me Paak Ho Jayegi Us Par Namaz Durust He,

▪️(Bahare Shariyat, H-1, S-402)


Lihaza Khinzir Ke Alawa Dusre Janwar Ke Chamde Se Badboo Or Gandagi Door Karne Ke Baad Use Pahan Kar Namaz Padhna Durust He..


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

No comments