मुहर्रम में इस्लामी नये साल की मुबारकबाद देना कैसा (Muharram Me Islami Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai?)



Muharram Me Islami Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai?

Kuch Log Kahte He Ki Isme Imam E Hussain Radi Allahu Anhu Ki Shahadat Hai To Gam Manana Chahiye Mubarak Baad Nahi Deni Chahiye, Iski Kya Asl Hai ?

👉🏻Jawab:

🎤Islamic Naya Saal Muharram Ul Haram Se Shuru Hota Hai Aur Ye Mahina Sog Wa Gam Manane Ka Nahi Hai.

Balki Barkato Aur Rahemato Ka Mahina Hai Aur Islami Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi.

Agar Koi Sunni Dusre Sunni Ko Mubarak Baad Deta Hai To Ma’azAllah Imam E Hussain Radi Allahu Anhu Ki Shahdat Par Nahi Balki Naye Mahine Ke Aamad Ki Khushi Me Deta Hai.

Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota Hai Ki Allah Ne Hame Zindagi Ka Ek Aur Saal Bhi Dikha Diya Hai Jisme Hame Tauba Aur Nek Amal Kamane Ki Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta Hai Is Liye Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi.

Ek Musalman Par Dusre Musalman Ke Jo 6 Huqooq Hai, Unme Se Ek Ye Hai Ki Jab Use Khushi Pahunche To Use Mubarak Baad De.

Hazrat Abdullah Bin Hussham Radi Allahu Anhu Ki Riwayat Jise Imam Tabrani Ne Al-Awsat Me Darj Kiya Usme Vo Farmate Hai Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba E Kiram Radi Allahu Anhum Ek Dusre Ko Ye Dua Sikhate The *Aye Allah Hame Is Mahine Me Aman, Imaan Salamati Aur Islam Ke Saath Dakhil Farma. Shaitan Ke Hamlo Se Bacha Aur Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.*

📚Al Tabrani, Al-Awsat : 6241) 

Aur Jo Log Kahte Hai Ki Is Mahine Me Imam E Hussain Radiallahu Anhu Ko Yazeed Paleed Ne Zulmo Sitam Kiye Aur Shaheed Kiya Is Liye Mubarak Baad Nahi Dena Chahiye Wo Log Zara Ise Bhi Padhe Allah Rabbul Izzat Qur'aan Majeed Me Irshad Farmata Hai Ki Jo Khuda Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balki Wo Zinda Hai, Haan Tumhe Khabar Nahi.

*(SURAH BAQAR,A AAYAT-154)*


Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Hargiz Unhe Murda Na Khayal Karna.

Balki Wo Apne Rab Ke Paas Zinda Hai Rozi Pate Hai.

*SURAH AALE IMRAN, AAYAT-169*


Is Aayat Se Awwal To Ye Hi Sabit Ho Gaya Ki Jo Shaheed Huwe Woh Isi Tarah ALLAH Ke Yaha Zinda Hai, Bas Is Duniya Wale Ko Iska Sha’ur Nahi Aur Hadees Me To Hai Ki Kisi Ke Wisal Par 3 Din Se Zyada Gham Na Kare, Agar Shaheedo Ki Maut Ko Maut Samajh Kar Gham Bhi Kiya Jaye, To Woh Bhi Is Duar Me Mumkin Nahi Kyunki Hadees Me Gham Ke Din Sirf 3 Bataye Gaye Hai, Jab Ki Shohda E Karbala Ko Aaj 1400 Se Zyada Ho Gaye.

Fakhr Is Baat Par Karna Chahiye Ki Jin Yazeediyo Ne Us Daur Me Islam Ki Roshni Ko Bujana Chaha Use Us Jannat Ke Nau-Jawano Ke Sardar Hazrat Imaam Hussain Radi Allahu Anhu Ne Apne Khoon Se Us Chirag Ko Jalaya Aur Islam Ki Roshni Bakshi Jinki Badaulat Aaj Hum Tak Aasani Se Islam Pahucha Hai.


Huzur Sallallahu Alaihi Wa Sallam Irshad Farmate Hai Ki

Shaheed Ko Qatl Ki Bas Itni Hi Taklif Hoti Hai Jitni Chinti Ke Katne Se Hoti Hai.

Warna Maut Ki Taklif Ke Bare Me Riwayat Hai Ki Kisi Ko Agar 1000 Talwar Ke Zakhm Diye Jaaye To Uski Taklif Maut Ki Taklif Se Kahi Zyada Halki Hogi Aur Allah Ke Yaha Use 6 Inamat Diye Jate Hai.

*📚SHARHUS SUDOOR, SAFA-31*


Huzur Sallallahu Alaihi WasL Sallam Ne 3 Din Se Zyada Shog Manane Se Mana Farmaya Hai.

*📚BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804*

*📚MISHKAT SHAREEF, J-1, S-486*


👉🏻Muharram Ki 10 Tarikh Ko Kya Kya Huwa.

1. Hazrat Sayyadna Aadam Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi.

2. Hazrat Sayyadna Yunus Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi Aur Aap Machhli Ke Paith Se Baahar Aaye.

3. Hazrat Sayyadna Nooh Alaihissalam Ki Kashti Joodi Pahaad Par Thahri, Us Din Shukrane Ke Taur Par Apne Roza Rakha Aur Tamam Ko Roza Rakhwaya.

4. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Paida Hue.

5. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Paida Hue.

6. Hazrat Sayyadna Isa Alaihissalam Paida Hue.

7. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Qaid Se Baahar Aaye.

8. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Par Aag Gulzar Huyi.

9. Hazrat Sayyadna Ayyub Alaihissalam Ne Shifa Paayi.

10. Hazrat Sayyadna Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhon Ki Roshni Wapas Aayi.

11. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Kunwe Se Baahar Nikle.

12. Hazrat Sayyadna Suleman Alaihissalam Ko Baadshahat Mili.

13. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Jaadugaro Par Gaalib Aaye.

14. Hazrat Sayyadna Idrees Alaihissalam Jannat Me Pahunche.

15. Firaun Ka Lashkar Gark Huwa.

16. Pahli Baar Baarish Huyi.

17. Aasman Kursi Kalam Pahaad Samandar Sab Isi Din Paida Huwe.

18. Isi Din Ashaabe Kahaf Karwate Badalte Hain.

19. Qayamat Isi Din Aayegi.

20. Aur Sayyadna Imam E Hussain Radi Allahu Ta'ala Anhu Ki Shahadat Huwi.

📚Jaame Us Sageer, Jild 5, Safah 34/226

📚Ajaybul Makhtuqat, Safah 44

📚Guniyatut Talebeen, Jild 2, Safah 53

📚Nuzhatul Majalis, Jild 1, Safah 145


Isliye Yahi Mahina Islami Naye Saal Ka Pahla Mahina Qaraar Paaya.

Ab Sochiye Ki Jis Din, Jis Mahine Ko Itne Azeem Kaam Murattab Huwe Agar Us Mahine Yaani Islami Naye Saal Ki Koi Mubarak Baad Pesh Kare To Kya Harj Hai?


👉🏻Be Adab Gustaq Firqoñ Ko Suna De Ai HASAN,

Yuñ Kaha Karte Hai SUNNI Dastane AHLE BAIT

Lanatullahi Alaikum Dushmanaan E AHLE BAIT

1 comment:

  1. Caesars Casino and Resort Launches With New Poker
    Harrah's Cherokee 부산광역 출장안마 Casino & 오산 출장마사지 Resort 김천 출장마사지 officially launched its 남원 출장샵 online poker room Thursday, August 19. It's not just for sports 군산 출장마사지 betting enthusiasts,

    ReplyDelete