मर्दों को चोटी रखने का शरई हुक्म (Mard Ka Choti Aur Kandhe Se Neeche Baal Rakhna Haram hai)
Mardo Ko Choti Rakhne Ka Sharai Hukm:
السَّـــــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه
Kiya Farmate Hai Ulama e Deen Is Mas'ale Mai Ke Mardo Ko Aurato Ki Tarah Choti Rakhna Ya Lambe Baal Rakhna Kaisa Hai?
JAWAB
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمدلله والصلوة والسلام على رسول الله ﷺ
Mard Ka Kano Ki Law Tak Baal Ka Rakhna Sunnat Hai,
Aur Mard Ka Baal Itna Badhana ki Kandhe (Sholder) Se Neeche Jaye Ye Haram Hai,
Phir Chahe Isme Choti Bandhe Ya Na Bandhe Aur Mard Ko Choti Bandhna Haram Hai.
Imam Ahmad Raza Khan Alaihirrahma Tahreer Farmate Hai Ke
Mard Ke Sar Par Choti Rakhna Waise Hi Haram Hai
▪️(Fatawa Razawiya Jild-21, P-134)
▪️Durr e Mukhtaar Mai Hai Ke;
غزل الرجل علی ھیأۃ غزل المرأۃ یکرہ
Aurat Ke Andaaz Se Mard Ka Apne Baal Goondhna (Choti) Na Pasand Hai
لما فیہ من التشبہ بالنساء
Isilye Ke Isme Auraton Se Mushabihat Hai.
▪️(Jild-2, P-253)
Hadis e Paak Mai Farmaya
قال صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم لعن اﷲ المشتھبین من الرجال بالنساء
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Allah Ki La'anat Un Mardo Par Jo Auraton Ke Sath Mushabihat Kare
واللہ تعالی اعلم باالصواب
Post a Comment