क्या औरत निकाह पढ़ा सकती हैं ? (Aurat Ka Nikah Padhana Kaisa Hai)
Kya Aurat Nikah Padha Sakti Hai :
SAWAL : Mera Suwal Ye Hai Ke Kiya Aurat Nikah Padha Sakti Hai?
JAWAB: Jaisa Ke Fatawa e Markaz Tarbiyat e Ifta Mai Hai Ke;
Nikah Ke Rukn Aijaab o Qabul Hai Uske Liye Mard o Aurat Ka Hona Zaruri Nahi,
Haa! 2 Gawaho Ka Aijaab o Qabul Ke Alfaz Ko Ek Sath Sunna Nikah Me Shart Hai.
Durr e Mukhtaar Mai Hai;
"وينعقد بايجاب و قبول"
▪️(ج ٤ ص ٦٨)
Aur Isi Mai Hai Ke;
''شرط حضور شاهدين حرين او حر و حرتين مكلفين سامعين قولهما معا علي الاصح 'اھ"
▪️(ج ٤ ص ٨٦)
Isse Zahir Hai Ke Nikah Ke Liye Aijaab o Qabul Karana Mardo Ke Sath Khaas Nahi, Aurat Bhi Aijaab o Qabul Kara Sakti Hai.
▪️(J-1, P-538, Nikah Ka Bayan)
Lekin Dour Hazir Mai Jis Tarah Nikah Padhaya Ja Raha Hai, Is Tarah Aurat Ko Ijazat Na Di Jayegi, Majmuya e Aam Mai Jaakar Nikah Padhaye
Agar Padhana Hai To Uske Liye Zaruri Hai Ke Ba Parda Ho, Khutba Uske Alawa Koi Aur Padhe Ke Awaz Bhi Aurat Yani Parda Karne Wali Hai.
Ya Phir Dulha Aur Gawah Uske Mahrim Mai Se Ho, Kiyunke Ghair Mahrimo Ke Samne Aana Jaana Apni Awaz Bila Zarurat Sunana Shar'an Jayaz Nahi.
واللہ تعالی اعلم باالصواب
Irshad Quadri Amjadi
Mufti Aarif Raza Amjadi Sharawasti
Post a Comment