Shak Ke Din Ka Roza Na Rakho
Shak ke din Ka Roza na rakho :
HADEES: Ek martaba Mashoor Sahabi Hazrat Ammar bin Yasir k pass Kuch log aaye Aur usi darmiyan ek bhuni hui bakri layi gayi, jab Hazrat ne unse khane ko farmaya to sab log ek taraf hogaye aur Kaha k ham Roze se Hain, ye sunkar Hazrat Ammar ne farmaya Jisne Shak k din ka Roza rakha usne Huzoor صلى الله عليه وسلم ki na farmani ki .
(REFERENCE: Tirimizi-686)
EXPLANATION:
Olma k nazdeek Youme Shak ka Roza 30 shaban k Roze us ko Kaha jata hai Jo chand na dikhne k Shak me ehtiyatan pehla Ramzan samajhkar rakha jata hai.
NOTE: olma e ahnaf k nazdeek Youme Shak Ka Roza makroohe tehreemi Aur Gunah hai, Lihaza 29 ko Chand na dikhe to 30 poora Karo .. magar Shak ki buniyad par Roza na rakho.
Post a Comment