अरब शहर कैसे बसा (ARAB SHAHER KAISE BASA || SEERAT'UN NABI ﷺ POST-2 )

 


SEERAT'UN NABI ﷺ POST-2:

⏹ARAB SHAHER KAISE BASA:

🔹Arab me pahle Qaume Aadh (Hazrat Hud alaihis salam ki qaum) aur Qaume Samood (Hazrat Saleh alaihis salam ki qaum) raha karti thi, ye qaum bade bade pahado ko tarashkar usme apna ghar banaya tha. Kuch log kahtey hai ALLAH ne is qaum ke hath me patthar ko moom kardiya tha yani patthar ko asaani se tarasha karte the. Aajke hisaab se ye qaum makka se 400 km door "Madaiyne saleh" is jagah raha karti thi.

Inki nafarmani itni badgayi ke ALLAH ne inpe azaab nazil kiya aur ye qaum tabah hogayi.

🔹Qaume aadh aur samood ki tabayi ke baad yaha Banu Qahataan abaad hue. Ye hazrat Nooh alaihis salam ke bete Saam bin Nooh ki aulaad me se hai. Qahatan Hazrat Nooh alaihis salam ke poteh the jinke naam par ye log Banu Qahatan kahlaye. Pahle ye log yemen ke ilaqe me raha kartey the. Mashoor malika seba, Bilqis ka talluq bi banu Qahatan ki ek shaak se tha.

Phir ek daur aya ke banu qahatan ko arab se dusri jagaho pe jakar basna pada uski ek wajah mashoor sailab tha jo unho ne pahado me ek baandh banaya jisme barish ka pani jama hota phir waha upar pahado se ye log wo baandh ka pani qethi taraf bhejtey the. Jab ye baandh toota tho ye qaum jaan bachane ke liye waha se dusre ilaqao ka rukh kiya. Aur ek wajah ye hai jab inki abadi badgayi tho majbooran inhe yemen se nikalkar dusre ilaqe dundey jiski wajah se ye log jazeera arab me phail gaye. Kuch qabile shaam (syria) aur iran aur arab ki sarhad (borders) ilaqo ki taraf phail gaye aur waha apni abadhi qayam ki. Jabke ek qabila banu jurhum Makke ki taraf ja nikla aur zam zam ke chashme ki wajah se waha hazrat hajra raziAllahu anha ki ijazat se waha abaad hogaya.

Banu Qahatan ka hi ek qabila aazd ka sardar salaba apne qabile ke sath yasrab (Ye Madina shaher ka purana naam hai, uska maney bimario ka shaher, NABI ﷺ ka yaha tashreef laaney baad usey MADINA kaha gaya. Lehaza ab yasrab kahna sakht mana hai, agar koi aj us shaher ko yasrab kahe tho usey chahie ke tauba ke taur pe 10 baar MADINA kahe) ki taraf aye aur yaha jo kuch qandaan bani israel ke rahtey the unhe maghloob karke yaha bas gaye. Unhi se Aaus aur khajraj madine ke 2 mashoor qabile the.

🔹Arab sar zameen par sabse akhir me abaad hone wale banu Ismail the. Hazrat Ibrahim alaihis salam ne ALLAH ke hukm se apni zoja (wife) hazrat hajra raziAllahu anha aur bete Hazrat Ismail alaihis salam ko Makka ki waadhi me chhorkar gaye the.

Us waqt na makke ki abaadhi thi aur na hi khaanae ka'ba ka wajood, khaanae Ka'ba hazrat Adam alaihis salam ke waqt tameer hua magar wo ab toot chuka tha phir baadme jab hazrat ibrahim alaihis salam wapas aye tho khaanae ka'ba ko purani wali hi jagah par hazrat ismail alaihis salam (us waqt age 15 thi) ke sath milkar tameer kiya.

Jab hazrat Ibrahim alaihis salam ne unhe waha chhora tab ismail alaihis salam ko pani ki pyas lagi aur hazrat Hajra raziAllahu anha ne pani ki talash me safa marwa pahadi pe daudey (yehi se aj hajj me safa marwa sayi chakkar lagana sunnat qarar paya) ke pani mile tab Hazrat Ismail alaihis salam zameen pe eydi (heel) ragadne lage, waha se pani ka chashma nikal aya, ye dekhkar Hazrat Hajra raziAllah anha ne ALLAH ka shukr ada kiya bete ko pani pilaya aur khud bi piya aur phir wo pani ko waha talaab jaisa banakar jama karliya magar wo pani musalsil nikal raha tha ke pani talaab se bahar aane laga

Tab aapne kaha ke "Zam zam" yani ruk ja, ruk ja, unke ye farmate hi pani rukgaya.. jo aajtak upar aata hai magar bahar nahi nikalkar behta nahi, Hazrat hajra ke wo kalimaat ki barkat hai ye zam zam pani aaj bi sirf ka'ba ki bunyad se 6 feet niche pahunchkar apne aap rukjata hai.

🔹Banu Qahatan ka qabila jurhum kahi rahne basne ki talash me safar karta raha ke aisi jagah jaha pani bi rahe kyuki arab me pani bahot mushkil se milta hai aksar ilaqa registan hai, jab unhe hazrat hajra raziAllahu anha ke waha zam zam pani nazar aya tho waha ijazat lekar basgaye aur agey chalkar is qabile ke sardaar ki beti se Hazrat ismail alaihis salam ki shaadi hui.

(📚Akhaz SEERAT BOOKS)

2 comments:

  1. Website MASHALLAH bhaut acchi hai

    Lekin add Bhaut aa rahi hai
    Aur wo add jo nhi aani chahiye is site pe

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya.... Lekin user ko vahi Ad show hoti jo uski browser history me hoti hai yani jo mobile me search hua h usse related ad hi show hogi

      Delete