ā¤¨ā¤Ŧी ā¤ ā¤•ā¤°ीā¤Ž īˇē ā¤•ी ā¤ĩिā¤˛ाā¤Ļā¤¤ ā¤¸े ā¤Ēā¤šā¤˛े ā¤…ā¤°ā¤Ŧ ā¤ĩ ā¤Ļुā¤¨िā¤¯ां (𝐒𝐄𝐄𝐑𝐀𝐓-𝐔𝐍-𝐍𝐀𝐁𝐈 īˇē 𝐏𝐎𝐒𝐓-1)


𝐒𝐄𝐄𝐑𝐀𝐓-𝐔𝐍-𝐍𝐀𝐁𝐈 īˇē 𝐏𝐎𝐒𝐓-1:

NABI īˇē ki seerat janney se pahley Arab ke halat samajhley take malum ho Aqa alaihis salam ki paidaish waqt Arab aur Dunya ke kya halaat the.

Mulke Arab ye barre azam (continent) Asia ke junub maghrib (south west) me waqeh hai. kyuki is mulk ke 3 taraf samandar aur chauthi taraf darya furat (Euphrates) ne jazeere ki tarah gheyr rakha hai, isliye is mulk ko "Jazeeratul Arab" bi kahtey hain.

Iske shumal (north) me shaam (syria) aur iraq, maghrib (west) me baherae ahmar (red sea) jo makka muazzama se maghrib taraf 77 kilometer par hai, junub (south) me baherae hind (indian ocean), aur mashriq (East) me khaleej (gulf) oman (gulf of oman) aur khaleej faras (persian gulf, gulf of fars) hai.

Is mulk me zara'at zameen kam aur aur aksar hissa pahado aur registani sahrao par mushtamil hai.

(📚Seerate Mustafaīˇē Page-40)

Ulamae geographyia ne tabai saaqt (physiography-studies of physical pattern and processes of Earth) lihaz se is mulk ko 8 hisso me taqseem kiya hai

1. Hijaaz 2. Yemen 3. Hazrmaut 4. Mahra 5. Oman 6. Bahrain 7.   Najd (riyadh) 8. Ahkhaaf.

Ajke hisab se dekhe tho in tamam countries ko arab kaha jata tha

Saudi arab, yemen, Bahrain, oman inke hissey shamil the.

Arab ke aksar log jab ye mulk fateh hue tho shaam (syria), iraq aur misr (egypt) shift hogaye.

Arab ko arab kyu kaha jata hai. Iske do jawab diye jate hai 

1. Arab ke lafzi maney hai fasahat aur balaghat zubaan wajah se aur ye log baqi log ko Ajam (gungey) kahtey the.

2. Dusri rai ye hai ke ye lafz arba se nikla hai jiske maney sehra, registan ke hain.

1 comment:

  1. Very nice knowledge you share in this post is veryful so thank for sharing this information Quran

    ReplyDelete