बगैर टोपी के नमाज़ पढ़ना कैसा हैं ? (Bina Topi Ke Namaz Padhne ka Masla)



BAGAIR TOPI KE NAMAZ PADHNA KAISA HAI

SAWAL : kya bina topi ke namaz padh sakte hai ?

JAWAB : Topi Pahen Kar Namaz padhna RASOOL ALLAH( Sallallahu Alaihi W sallam) Ki Sunnat hai.


▶️Susti se nange sar namaz padhna yaani topi pahenna bojh ma'aloom hota ho ya garmi ma'aloom hoti ho, makroohe tanzihi hai.

▶️agar tahqeere namaz maqsood hai, maslan namaz koi aysi muhtam bisshaan cheez nahi jis ke liye topi, amama pahna jaaye to ye kufr he.

▶️khushu'a w khuzu'a ke liye sar barhana padhi to mustahab he.

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3, S-171)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-416)*

➤Nabi Pak Sallallahu Alyhi wasallam Ne Farmaya Hamare Aur Yahoodi k Amame Me Farq Topi Hai Musalman Topi par Amama Bandhta hai Aur gair Muslim Begair Topi ke.

*📚(Mishkat Baab Al Qalanswa )*


Imam Bukhari Ne Sahih Bukhari Me Topi K Naam Ka Baab Likha hai :

➤Sahabi e Rasool Hazrat Anas bin Malik Peele Rang Ki Topi Pahante

📚(Bukhari Kitab Libas Baab Topiyo Ka byan Hadees Number 5802 )

➤Is Baab me Hi Aysi Hadees NaqaL Ki Jisme Nabi Pak ne FarmaYa Halat e Ehram Me Topi Na Pahno.

📚( Bukhari Hadis Number 5803)

Topi Islam Ki Nishani Hai Dadhi Aur Topi Hamesha Se Musalmaan ki Pahchan rahi hai Magar Yahood key Agent MUSALMAANO ko Bager Topi Wala Yahood Banane me lage hain.


▶khule sar namaz ki chand surte he :

1 majburi ki halaat me bila kaharat jaez he

2 susti ki wajah se kisi waqt khule sar namaz padi jaay to makrooh e tanzihi he jiski wajah se sawab kam ho jayga

3 khule sar namaz ko sunnat bagair aadat bana li jaay to makrooh e tahrimi he

4 khule sar namaz ko sunnat samajh kar ada karna biddat he

5 khule sar namaz ko afzal wa sunnat samajh na or namaz me sar dhakne ko bura janna kufr he

*📚(fatawa Alamgiri jild 1 page 106 . durre mukhtar jild 1 page 474, )*

No comments