इन हालात में सलाम करना व सलाम का जवाब देना मना हैं (Salam Karne Ka Sahi Tarika) :


Kin Logo Ko Salam Karna Ya Salam Ka Jawab Dena Wajib Nhi:

Jo Shakhs Peshab Pakhana Kar Raha Hai Ya Kabootar Udaa Raha hai ya Gaana Gaa Raha hai Ya Hammam Ya Gusl Khane me Nanga Naha Raha Hai Usko Salam Na Kiya Jaye Aur Uspar (Salam ka) Jawab dena Wajib Nhi.


Salam Karne Ka Sahi Tarika : 

Salam Ki Meem Ko Sakin Kaha Yani Salam Alaikum Jaisa Ke Aksar Jahil isi tarah Karte hain ya fir Salamo Alaikum (Meem Ke Pesh ke Sath) Kaha in dono Soorato me Jawab dena Wajib Nhi ke ye Masnoon Salam Nhi.

(Bahare Shariat hissa-16 Pg- 463,464)


(Masnoon Tareeqa Salaam ye hai AssalamuAlaikum
Aur Usme Warahmatullahi Wabarakatuh Ka izafa kardo to ye Aur Achha hai Nekiyo me izafa Sabab hai) 


2 comments: