रमज़ान के रोज़े के बहुत ज़्यादा जरुरी मसाइल, पढ़कर दुसरो को शेयर करें (Ramzan Sharif Ke Rozo Ke Jaruri Masail) :




🔸ROZE ME BLOOD TEST KA MASLA :

Halate roza me blood test karwana bilkul jaiz hai aur hajatmand log ko khoon dena bi jaiz hai.

(📚Tafheemul Masail Jild-1 page-191)


🔸ROZE ME MISWAK KARNA KAISA :

Roze me miswak karna sunnat hai, isse roza nahi jata.

(📚Durre Mukhtar Jild-3, page-399)



🔸 KYA ROZE ME BACHCHO KO DOODH PILA SAKTE HAI:

Roza sirf jism me koi chiz dakhil hone se tootjata hai, doodh pilane se jism me koi chiz nahi gayi, lehaza aurtein apne chote bachcho (2 saal umar tak pilane ki ijazat hai usse ziada umar me najaiz hai) ko roze ki halat me doodh pila sakti hai.

(📚Tafheemul Masail Jild-6, page-204)


🔹ROZEDAR KI DUA:

⏹HADEES:

3 Dua radd nahi hoti

1) rozedar ki iftar ke waqt

2)Aadil badshah ki

3)Mazloom (jispar zulm kiya gaya ho) ki.

(📚Sunan Ibne Maja jild-2 hadees-1752)


🔸KYA ROZE ME AANKHO ME EYE DROPS DAAL SAKTE HAI:

Halate roze me eye drop dalne se roza tootjata hai kyuki ankh aur halaq ke darmiyan raasta hai. Lehaza isse bachne ki koshish kare.

(📚Tafheemul Masail Jild-1 page-192)

Agar sakht zarurat hai toh dalkar roza continue kare ke adat barqarar rahe, in sha Allah ALLAH sawab dene wala hai.





🔸WUZU KA PANI MUH ME CHALE GAYA TO ROZA TOOTEA YA NAHI :

Wuzu ke baad ya phir aise hi kulli ki ke thoda pani ki thari (khachhapan) muh me rehgaya aur thook ke sath nigal gaya tab bhi roza nahi tootega.

(📚Durre Mukhtar jild-3) 

Behtar hai kulli baad acha se thuke ke ziada kachchapan me muh me na rahe.


🔸Mahe Ramzan Sharif Me Sawab Ke Sath Gunah Ka Azaab Bhi bada diya Jata:

▶Mafhoome Hadees:

Jisne Mahe Ramazan Me Zina Kiya Ya Sharaab Pi Tho Agley Ramazan Tak ALLAH aur Uske Farishte Uspe Lanath Karte Hai Aur Agar Ye Shaks Agley Ramazan Se Pahle Margaya Tho Jahannum Me Jayega.

Isliye Tum Mahe Ramazan Ke Maamle Me Daro Kyuki Jis Tarah Nekiyo Ka Sawab Bada Diya Jata Hai Usi Tarah Gunah Ka Azaab Bhi Bada Diya Jata Hai.

(📚Al'mu'jam As'sageer lit'tibrani jild-9 hadees-1488)


No comments