ज़ईफ़ हदीस किसे कहते है ? Ek Hadees Ko Kab Zaeef Kahte Hai Aur Kon Isko Zaeef Karar Dete Hai ?




Basically Hadees Ke 4 types hai:

Saheeh , 
Hasan , 
Zaeef ,
Mouzu 


Ye subject ka naam Ilme jarah wa tadeel hai , isme hadees k rawion (Narrators) par kalam kiya jata hai.

Sabse pehle Ilme jarah wa tadeel k bina par hadeeson k taqseem karne wale Imam Tirmizi hain. 

Even bukhari , muslim , muwatta , musannaf jaisi mustanad kitabon me bhi iska istemal nahi kiya gaya.

Imam tirizmi k bad , imam hakim , imam Baihaqi  chand kitabon me istemal kiya.


Yahan tak mamla sahi tha .. q k ye muhaddiseen khud ahadees jama karte the aur inka zamana .. un rawion k zamane se qareeb tar tha. Ye hadees likhne k bad faisla kar sakte the.

Phir 8th sadi hijri me imam zehbi ne hadees k rawion par seerat nigari karte huye kaiyo kitaben likhi. Isi tarah imam ibne hajr asqalani ne bhi kaiyo kitaben likhi. Unke shagirdon ne bhi isi tarah hadees k rawion k ahwal likhe. Magar unho kabhi hadees ki kitabon k ahadees ko saheeh , zaeef , mouzu qarar dene kaam nahi kiya. Q k zamana bahut aaghe nikal gaya tha. Shariat k tamam mamla awaam me Roushan hogaye the.

Lekin is zamane me jab firqa e Ahle Hadees paida hua to inhe bahut sare hadeesen manne me dikkat aur pareshani hone lagi. In logon ne kaha ham hadees k rawion par faisla karenge. Phir Wohi imam zahbi , imam ibne hajr , imam subki ki kitaben istemal karne lage. Usme jahan kahin bhi kisi raawi k talluq se zara negativity bhi mil jata .. to fouran unke hadeeson ko radd kardete. Aisa karte karte noubat ye aagayi k bahut se saheeh hadeeson ko bhi mouzu , manghadat qarar dediya. Iska nateeja ye hua k khud aapas me hi ahle hadees me ladayi uth khada hua.

Shaik Albani ne to bukhari me se 5 hadeeson ko bhi zaeef qarar dediya. Jiski wajah se ahle hadeeson ka doosra tabqa jiska sargana zubair ali zai tha uspar khoob bhadka aur uske khilaf khilaf kitaben…

Ab is Dour me Hame bas Fuqha ikraam k raste par  chalna hai .. q k unhone sadion pehle hadeeson par nazar dalkar awaam k liye masle masail tashkeel de chuke hain. Aur sadion se uspar amal chalta aaraha hai.

Ab naye sire se hadees se masle nikalne ka kaam baqi nahi raha. Sab kam tamam ho chuka hai. Bas un kitabon ko padhkar masle ka hal.janna hai.

Recently ek naya karnama anjam dete huye firqa e ahle hadees k nanhe munne mujtahidon ne poore jamat ko gark kardiya. Woh hai k 

Youtube me aakar Iftar me padhi jane wali mashoor dua ko inho ne zaeef qarar dediya. 

Lekin Inke peero murshid janab shaik albani sahab ne us dua ko saheeh qarar diya tha. 

Ab kiski maane chele ki ya un andhe chelon k murshad ki.

... Dono ka ek hi jamat se talluq hai , magar dono do alag alag faisle dete hain , peer kehta hai sahi , mureed kehta hai galat ....

To pata chala jo gadha inlogon ne ummat k liye khoda tha , usme ye khud jakar gir rahe hain.

No comments