जानिये ! नींद से या सोने से वुज़ू कब टूटता है? ( Kya Nind Se ya Sone Se Wuzu Toot Jata Hai ? )


Kya Nind Se ya Sone Se Wuzu Toot Jata Hai ? 

Aksar Ye dekha gaya hai ki Masjid ke andar log namaz ke intezar me baithe hai aur unhe nind ki jhapki aa gayi ya unghne lage to vah samjhte hai ki hamara wuzu toot gaya. To wah khud ya kusi tokne par wuzu karne lagte hai. Yeh galat hai. Jabki masla ye hai ki...


▶ Oonghne ya baithe baithe jhoke lene se wuzu nahi jata hai.

(📚Bahare Shariat, Hissa 2)

▶ Tirmizi. Aur Abu Dawud ki hadees me hai ki Rasool Allah ke sahaba ikram Masjid Sharif me Namaze Isha ke intezar me baithe baithe Sone lagte the yaha tak ki unke sir nind ki vajah se jhuk jate the fir wah dobara wuzu kiye bagair Namaz padh lete the.

(📚Mishkat, Mayuzibul Wuzu, Safa 41)

▶ Nind se wuzu tab toot ta hai jab ye dono Sharte Payi jaye :

1) Dono Sureen Us Waqt Khoob Jame Na Ho.

2) Sone Ki Halat Gafil Hokar Sone Se Mane Na Ho.

(📚Fatawa Razviya, Jild 1, Safa 71)


▶️ Chit, Pat ya karwat se letkar Sone se Wuzu Toot jata jata hai.

▶️ Ukhdu baitha ho aur tek lagakar so gaya to bhi wuzu toot jayga.

▶️ Pair Failakar baithe baithe Sone se wuzu nahi toot ta, Chahe tek lagaye huye ho.

▶️ Khade khade ya Chalte huye ya Namaz ki halat me Kayam me ya Ruku Me ya Do Janu Sidhe Baith kar Ya Sazde me jo tarika mardo ke liye Sunnat hai Uspar So gaya to Wuzu Nahi Jayga. Ha Agar Namaz me nind ki vajh se zameen par gir pada aur Fouran Aankh khul gayi to thik warna Wuzu Jata Raha.

📚 (Galat Fehmiya Aur Unki Islah)

2 comments:

  1. main chair par baitha, piche tek lagi thi. neend ki jhapki ayi, sir niche gira aur foran bedaar ho gaya to kya wuzu gaya ya baki raha?

    ReplyDelete