शव्वाल के रोज़े गुनाहो से पाक करते है | MAHE SHAWWAL KE ROZO KI FAZILAT...



CLOUD COMPUTING AND INSURANCE
SAWWAL KE ROZE GUNAHO SE PAAK KARTE HAI:

HADEES: Jisne ramazan ke roze rakhe phir shawwal ke 6 roze rakhe tho gunaho se aisa nikalgaya jaisa aaj hi maa ke pet se paida hua hai.

📚Majmauz Zawaid, jild-3, hadees-5102


HADEES: Hazrat Abu Ayub Ansari Radiallahu Anhu Se riwayat hain ke Huzoor Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Jisne ramzan ke roza rakhe aur uske bad shawwal ke 6 (Nafl) Roze rakhe to Ye pure zamane (Yaani Saal Bhar) Ke Roze Rakhne Ki Tarah Hai."


[Sahih Muslim]

HADEES: Jisne Eidul fitr ke baad shawwal ke 6 roze rakhe goya usne umar bhar roza rakha.

📚Sahih Muslim, Hadees-1164





HADEES: Rasol’Allah (ﷺ) ke Aazad karda Ghulaam Hazrate Sobaan (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Eid-Ul-Fitr ke Baad 6 Din ka Roza rakhe isko purey Saal ke Rozon ka Sawaab milega, Jo ek neki laye isko iska 10 Gunaa ajar milega.”



📕 Sunan-Ibn-Majah; Hadees no.1715


Shawwal ke 6 roze eid ke baad mahe shawwal me kabi bi rakh sakte hai, continuously 6 roze ya pahla roza rakhna zaruri nahi, jab bi mann kare shawwal me 6 roze rakhe.


NOTE: Jiske ramazan ke kuch roze miss kiye pahle wo rozo ki qaza wajib hai.

ALLAH hame shawwal ke 6 rozo ki bi taufeeq de.. Ameen


CLOUD COMPUTING...... 


No comments