जानिए ! इस्लाम में औरतों का जॉब करना कैसा है ? (KYA ISLAM ME AURAT JOB KAR SKTI HAI ?)





KYA ISLAM ME AURAT (LEDIES) KA JOB KARNA KESA:

Bila zaroorat aurat ka job karna najaizo haram or gunah he , yaani uska shohar ya ghar ka koi mard itna kamata hai ki zaroorate or hajate poori ho jati ho, (vo hajate jinke bagair insan ka jina dushwar ho jae) tab tak aurat ko ghar se bahar kamane ke liye jane ki ijazat nahi.


Aala Hazrat Azimul Barkat Mujaddide dino millat Alaihir Rahma Farmate hai:

Aurat ka job karna 5 sharto ke sath jayez hai:

1. Kapde baareek na hon, jinse sir ke baal ya kalaayi waghaira sitr (jitne jism ka chhupaana farz hai, us) ka koi hissa na chamke.

2. Kapde tang aur chust (tight & fit) na hon, jo badan ki banaawat (yaani seene ka ubhaar ya pindli ki golaayi waghaira) zaahir karein.

3. Baalon ya galey ya pet ya kalaayi ya pindli ka koi hissa zaahir na hota ho.

4. Kabhi zara si der keliye bhi na maheram mard ke saath tanhaayi na hoti ho.


5. Uske wahaan rehne ya ghar se baaher aane jaane me kisi fitne (gunah aur kharaabi) ka gumaan na ho.

Ye 5 shartein agar sabki sab jama hon to aurat ke Job karne me haraj nahi, aur agar inme se ek bhi kam hai to haraam hai.

(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-22, S-248)

Jahaalat aur be parwaahi ka daur hai, upar bayaan ki gayi 5 sharto par amal is zamaane me bahut ziyada mushkil hai,Balke koi aurat kar hi nahi sakti aajkal daftaro me mard aur aurat ikatthe kaam karte hain, aur istarah be pardagi, be takallufi aur bad nigaahi se bachna na mumkin ke qarib hai, isliye aurat ko chahiye ke daftar ya kisi ke ghar naukari ke bajaaye aisa koi kaam kare jis se apne ghar me rehte huwe kamaayi ho sake.

3 comments: