वैलेंटाइन'स डे मनाना एक अज़ीम गुनाह हैं, पोस्ट को शेयर करे ताकि हर मुसलमान इससे बच जाये...





⏹QURAN:   "Aye imaan walo, Islam me pure daakhil ho jao aur shaitaan ke raasto par na chalo, Beshak wo tumhara khula dushman hai".

(📚Sureh Baqarah, Ayat-208)



VALENTINE DAY KI HAQIQAT:


Ek paadri jiska naam "valentine" tha, teesri sadi eswi me Romi badshah  "claudius gothicus sani" ke zayre hukumat rahta tha, kisi nafarmani ki bina par badshah ne us paadri ko jail me daal diya, paadri aur jailor ki ladki ke bichme me ishq hogaya, ladki ishq me aisi doobi ke apna mazhab badalkar paadri ka mazhab nasraniyat qubool karli. Ab ladki rozana Valentine se milne ek surq gulab lekar ati, iska ilm jab badshah ko hua tho usne paadri ko phansi ki saza sunayi. Paadri ko jab phansi ki saza ka ilm hua tho isne apne akhiri lamhaat apni mashooqa ke sath guzaarne ke liye ek card likha tha, bil akhir 14 feb ko phansi di gayi aur jabse is din is paadri ki yaad me mohabbat ka din samajkar manaya jata hai..



▶GHAIRO KE RAASTE PAR JAHANNUM:

🔸Hzt Ibne Umar RaziAllahu anhu ne riwayat hai ke NABI swallallahu alaihi wa swallam ne farmaya

"Jo jis qaum ki mushabahat(unki naqal) kare, wo unhi me se hai (yani uska hashar qayamat me un ghairo ke sath hoga)."

(📚Sunan Abu Dawood hadees-4031)



Musalmano ko chahie ke aise khurafaat se apna imaan bachaye aur isse door rahe aur apne dosto rishtedaro ko bi isse roke.



ALLAH paak hamare naujawan islami bhai, behano ko isse bachaye ameen summa ameen

No comments