क़दरिया (QADRIYA) एक बातिल फ़िरक़ा (72 जहन्नुमी फिरके)





1. QADRIYA

(हिन्दी के लिए नीचे जाये)



Is baatil firke ka baani basra ka rahne waala ek shakhs jiska naam maabad juhni tha aur iska aqeeda tha ki insan khud hi apne amal ka khaaliq hai jab wo kuchh karna chahta hai tab hi wo kaam wajood me aata hai aur taqdeer koi cheez nahin yaani pahle se kuchh bhi likha hua nahin hai aur ye bhi ki ALLAH taala ko bhi kisi kaam ka ilm tab hi hota hai jab banda koi kaam kar leta hai maaz ALLAH



➤HADEES - Hazrate yahya bin maamar se marwi hai ki sabse pahle taqdeer ka jisne inkaar kiya wo maabad juhni hai yahya kahte hain ki main aur humaid bin abdur rahman hajj ke liye makka muazzama gaye to hamne kaha ki agar huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke sahaba me se hamein koi mila to hum unse taqdeer ke baare me malumaat karenge,ittifaq se hamein abdullah bin umar raziyallahu taala anhu mil gaye jo masjid sharif me daakhil ho rahe the to hum dono unke daayein aur baayein ho liye,yahya kahte hain ki main jaanta tha ki humaid khud baat na karke mujhse hi baat karwayenge lihaza maine hazrat abdullah bin umar raziyallahu taala anhu se arz kiya ki hamare yahan kuchh log hain jo quran padhte hain ilme deen haasil karte hain aur bhi kuchh unki tareef karke maine kaha ki wo log khayal karte hain ki unka aqeeda hai ki taqdeer koi cheez nahin hai aur insaan ka karna hi sab kuchh hai aur insaan apne kaamo ka khud hi khaaliq hai,ye sab sunkar hazrat abdullah bin umar raziyallahu taala anhu ne farmaya ki jab tum log unse mulakaat karna to meri taraf se kah dena ki wo mere nahin aur main unka nahin phir uske baad aapne kasam kha kar farmaya ki agar koi shakhs uhad pahaad ke barabar sona raahe khuda me kharch kare to ALLAH taala uski khairat ko hargiz qubool na karega jab tak ki wo taqdeer par imaan na laaye,iske baad hazrat ne huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ki ek taweel hadees humko sunayi jiska mafhoom ye tha ki achchhi buri taqdeer ka aqeeda rakhna imaan ke liye zaruri hai

📕 Muslim,jild 1,safah 27




Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne khud inke baare me pahle se hi farma diya tha,mulahza farmayein*



HADEES - Qadriya is ummat ke majoosi hain agar wo beemar hon to unki iyaadat na karo aur agar wo mar jaayein to unke janaze me shareek na ho.

📕 Mishkat,bab-ul imaan,safah 22



Ek musalman ko yahi aqeeda rakhna chahiye ki kaaynat me jo kuchh hota hai un sabka khaaliq o maalik sirf ALLAH hi hai aur jo bhi achchhe ya bure kaam hote hain wo sab pahle se likha hua hai aur sabka paida karne waala ALLAH hai aur uske ilm me hai lekin insaan jo kuchh karta hai usme uska iraada bhi shaamil hota hai aur isi iraade ki wajah se achchhe kaam par sawab aur bure kaam par gunaah wa saza ka mustahiq hota hai,ye bhi pata chala ki agar che koi shakhs laakh kalma goyi kare namazo roza wa sadqa khairat kare lekin agar uska aqeeda durust nahin to hargiz hargiz uska koi bhi amal qubool nahin hoga aur aise naam nihaad musalmano se nafrat karna aur unse door rahna yahi sahabaye kiraam ki taleem hai aur yahi huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ka tariqa hai,lihaza jo log ye kahte hain ki sunni ikhtilaaf karta hai aise logon ko khud apni islaah ki zarurat hai na ki sunniyon ko





क़दरिया 


इस बातिल फिरके का बानी बसरा का रहने वाला एक शख्स जिसका नाम मअबद जुहनी था और इसका अक़ीदा था कि इंसान खुद ही अपने अमल का ख़ालिक़ है जब वो कुछ करना चाहता है तब ही वो काम वजूद में आता है और तक़दीर कोई चीज़ नहीं यानि पहले से कुछ भी लिखा हुआ नहीं है और ये भी कि अल्लाह तआला को भी किसी काम का इल्म तब ही होता है जब बंदा कोई काम कर लेता है मआज़ अल्लाह

हदीस - हज़रते यहया बिन मअमर से मरवी है कि सबसे पहले तक़दीर का जिसने इंकार किया वो मअबद जुहनी है यह्या कहते हैं की मैं और हुमैद बिन अब्दुर्रहमान हज के लिए मक्का मुअज़्ज़मा गए तो हमने कहा कि अगर हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम के सहाबा में से हमें कोई मिला तो हम उनसे तक़दीर के बारे में मालूमात करेंगे,इत्तिफ़ाक से हमें अब्दुल्लाह बिन उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु मिल गए जो मस्जिद शरीफ में दाखिल हो रहे थे तो हम दोनों उनके दाएं और बाएं हो लिए,यह्या कहते हैं कि मैं जानता था कि हुमैद खुद बात ना करके मुझसे ही बात करवायेंगे लिहाज़ा मैंने हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से अर्ज़ किया कि हमारे यहां कुछ लोग हैं जो क़ुर्आन पढ़ते हैं इल्मे दीन हासिल करते हैं और भी कुछ उनकी तारीफ करके मैंने कहा कि वो लोग खयाल करते हैं कि उनका अक़ीदा है कि तक़दीर कोई चीज़ नहीं है और इंसान का करना ही सब कुछ है और इंसान अपने कामों का खुद ही ख़ालिक़ है,ये सब सुनकर हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने फरमाया कि जब तुम लोग उनसे मुलाकात करना तो मेरी तरफ से कह देना कि वो मेरे नहीं और मैं उनका नहीं फिर उसके बाद आपने कसम खा कर फरमाया कि अगर कोई शख़्स उहद पहाड़ के बराबर सोना राहे ख़ुदा में खर्च करे तो अल्लाह तआला उसकी ख़ैरात को हरगिज़ क़ुबूल ना करेगा जब तक कि वो तकदीर पर ईमान ना लाये,इसके बाद हज़रत ने हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की एक तवील हदीस हमको सुनाई जिसका मफहूम ये था कि अच्छी बुरी तक़्दीर का अक़ीदा रखना ईमान के लिए ज़रूरी है

📕 मुस्लिम,जिल्द 1,सफह 27



*हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने खुद इनके बारे में पहले से ही फरमा दिया था,मुलाहज़ा फरमायें*



हदीस - क़दरिया इस उम्मत के मजूसी हैं अगर वो बीमार हों तो उनकी इयादत ना करो और अगर वो मर जायें तो उनके जनाज़े में शरीक ना हो

📕 मिश्कात,बाबुल ईमान,सफह 22



 एक मुसलमान को यही अक़ीदा रखना चाहिये कि कायनात में जो कुछ होता है उन सबका ख़ालिक़ो मालिक सिर्फ अल्लाह ही है और जो भी अच्छे या बुरे काम होते हैं वो सब पहले से लिखा हुआ है और सबका पैदा करने वाला अल्लाह है और उसके इल्म में है लेकिन इंसान जो कुछ करता है उसमे उसका इरादा भी शामिल होता है और इसी इरादे की वजह से अच्छे काम पर सवाब और बुरे काम पर गुनाह व सज़ा का मुस्तहिक़ होता है,ये भी पता चला कि अगर चे कोई शख्स लाख कल्मा गोई करे नमाज़ो रोज़ा व सदक़ा खैरात करे लेकिन अगर उसका अक़ीदा दुरुस्त नहीं तो हरगिज़ हरगिज़ उसका कोई भी अमल क़ुबूल नहीं होगा और ऐसे नाम निहाद मुसलमानो से नफरत करना और उनसे दूर रहना यही सहाब-ए किराम की तालीम है और यही हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम का तरीक़ा है,लिहाज़ा जो लोग ये कहते हैं कि सुन्नी इख्तिलाफ करता है तो ऐसे लोगों को खुद अपनी इस्लाह की ज़रूरत है ना कि सुन्नियों को.

No comments