ALLAH KE WALIYO KE PAAS JAKAR DUA KARNE KA HUKM.





ALLAH WALO KE PAS JAKAR DUAE KARNE KA HUKM


"Sureh Al'imran Ayat no-38 ki tafseel bahot pyari hai. Isme Ek Nabi Hazrat Zakariya alaihis salam ek waliya hazrat Maryam ke pas jakar ALLAH se aulad ki dua karte hai aur unhe aulad ata hoti hai."


QURAN SHAREEF


🔸"Us jagah Zakariya ne apne RAB se dua mangi, arz kiya ke aye mere RAB! Muje apni bargah se pakizah aulad ata farma, beshak tu hi dua sunne wala hai"


(📚Sureh Al'imran ayat-38)



💚TAFSEER💚


🔹Imam Abu Jafar Mohammad bin Jarir Tabari alaihi rahma ne is ayat ki tafseer me likha hai ke Hazrat Zakariya alaihis salam kafi umar ke hogaye the aur unhe aulad nahi thi,ek bar unhone dekha ke hazrat Maryam jo ki WALI hai unke pas ghaib se ghair mausami phal aate the, garmi me sardiyo ke aur sardiyo me garmi wale phal aate the. Ye dekhkar unhe samaj agaya ke ye ALLAH ki waliya hai, tab hi waha namaz ada ki aur aapne hath utakar dua ki ke aye mere RAB mai kafi kamzor hogaya hu mere baal safedh hogaye hai,meri biwi baanj hai, jaise hazrat maryam ko ghaib se ghair mausami phal aate hai,mujhe bi is umar me pakizah aulad se nawaz de.

ALLAH ki taraf se apko aulad hui.




🔹Isse kuch bate malum hui ke


1⃣ALLAH walo ki yaha khaas rahmat utarti hai,isliye ALLAH walo ke pas jakar dua karna qubooliyat ki daleel hai.. ek Nabi ek waliya ki bargah me khade hoke is tarah dua karke hame dars hai ke ALLAH walo ki bargah me khade hoke ALLAH se dua karna duae jald qubool hoti hai.

2⃣Hamesha ALLAH paak se sirf aulad hi nahi, balke *PAKIZAH* aulad Ki dua mangey kyuki kya pata aulad hamari Sakht azmaish na banjaye, nek aulad mange thake unse dunya o akhirat ka sath mile.


(📚Tibyanul Quran Sureh Al'Imran ayat-38,
📚Tafseer Tabari Sureh Al'Imran,
 📚Tafseer Siratul Jinaan Sureh Al'Imran)