ALLAH KE WALIYO KI SHAN

Hadees e Qudsi


➤ Huzoor e Akram, Shahinshahe Bani Aadam صل اللہ علیہ و سلم Farmate Hain Ke Allah عزوجل Ne Irshad Farmaya :

 "Koi Bandah Mere Faraaiz Ki Adaaigi Se bad kar Kisi aur Cheez Se Mera Qurb Haasil Nahi Karsakta (faraaiz ke bad phir woh) Nawafil Se Mazeed Mera Qurb Haasil Karta Jata Hai...

▫Yahan tak ke Main Use Apna Mahboob Bana Leta Hoon 
aur 
▫Main Is Ka Kaan Ho Jata Hoon Jis Se Woh Sunta Hai 
aur 
▫Iski Aankh Ho Jata Hoon Jis Woh Dekhta Hai 
aur 
▫Iska Haat Ho Jata Hoon Jis Se Wo Pakadta Hai 
aur 
▫Is Ka Paanv HoJata Hoon Jis Se Woh Chalta Hai 
agar 
▫Woh Mujh Se Maange to Main Is Ko Zaroor Doonga aur Agar Woh Mujh Se Panah Maange to Main Use Zaroor Panah Doonga."

📚 [Sahih Bukhari # 6502.]


➤ Rasoolullah صل اللہ تعالی علیہ و اٰلہ و سلم Ne Farmaya : 

"اطلبوا الخیر والحوائج من حسان الوجوہ"

"yani bhalayi aur apni hajaten khoobsurat chehre walon se talab karo".


[المعجم الکبیر، رقم 11110، ج11، ص67.]