🔸Namaz Ke Waqto Ka Bayan :


▶FAJAR:

🔸Tulu Subha sadiq se aftaab ki kiran chamakne tak iska waqt hai, Subha sadiq ek roshni hai mashriq ki janib jaha se aaj aftaab tulu hone wala hai uske upar aasmaan ke kinare me dikhayi deti hai aur badti jati hai yaha tak ke tamam aasmaan me pahel jati hai aur zameen par ujaala hojata hai.

"Aam zabaan me ye samjiye ke roza band karne ke waqt se fajar shuru hoti hai aur aftab ki pahli kiran ke aate hi iska waqt khatam hojata hai."

▶subha sadiq chamakne se tulu aftab ka waqt kam az kam 1hr 18min hai. 

▶ZOHAR:

🔸Aftaab dahlne se us waqt tak hai ke har chiz ka saya alawa sayae asli ke do chand hojaye.

Zameen par ek lakdi is tarah nifs karde ke mashriq ya maghrib ko asalan jhuki na ho aftab jitna buland hota jayega uska saya kam hota jayega ke phir mauqoof hojayega yani nisfun nahar, ye hai sayae asli. phir badna shuru hoga ke ab zohar ka waqt shuru hua.

Sardi ya barish aise waqt Iska aur ek tariqa Compass se malum kiya jata hai.

▶ASAR:

🔸Baad khatam waqt zohar ke yani sayae asli ke do misl saye hone se, aftab doobne tak.



▶MAGHRIB:

🔸Ghuroob aftab se aasmaan me laali rahe tak iska waqt hai. 

▶ISHA:

🔸Ghuroob safedi se lekar tulue fajar tak.

(📚Bahare Shariat jild-1)

No comments