जानिए! क्या होली की मुबारकबाद देना जायज़ है या हराम है❓




Holi, Krishmas, Diwali Ahle_Hunood Ke Kufriya Tehwaron Par Unhe Mubarak Baad Dene Ke Muta'alliq 



Faqihe Aazame Hind Naibe Huzoor Mufti-E- Aazame Hind Sharah Bukhaari Mufti Shariful Haque Amjadi علیہ الرحمہ  Tehreer Farmate Hai Ki:


In Mushrikana Mazhabi Tehwaro'n Par Hinduwon Ko Mubarak Baad Dena Ashad Haram Munzir ILal Kufr Hai.


Jo Musalman Aisa Karte Hain Un Par Tauba Wa Tajdeed Eeman-O-Nikah Laazim Hai.


(Fatawa Sharahe Bukhaari , J:2 , S:565)


Holi Aur KRISMAS Ghair Muslimo'n Ka Shi'aar Hai Is Me'n Shirkat Haram Bad-Kaam Bad-Anjaam. Shirkat Hone Walo'n Par Tauba Farz Hai. Aur Tajdide Eemaan -O- Tajdide Nikah Bhi KarLe'n.


(Fatawa TAaJushshariah , Jild:2 , Safha:76)


Holi Ke Mauqa Par Rang Ko Bura Jante Huwe Thoda Sa Lagwana Bhi Naa-Jaaiz -O- Gunah Hai.


(Fatawa Markaze Tarbiyate Ifta, Jild:2 , Safha:380)


Kaafir Agar Holi Ya Diwali Ke Din Mithayi De'n To Na Le

Haan Agar Dusre Roz De To Lele Na Ye Samajh Kar Ke Unke Khabsa Ke Tehwar Ki Mithayi Hai. Balke "Maal Mozi Naseeb Ghaazi" Samjhe.

(Malfuzaate AalaHazrat, Hissah:1 , Safha:163)