What Is Islam And The 5 Pillars of Islam




➤ What is Islam?


Islaam Ye Hai Ki Tum Shahadat (Gawahi) Do Ki ALLAH Ke Siwa Koi Ibaadat Ke Laaiq Nahi Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) UsKe (Allah Ke) Rasool Hain,
Namaaz Qaaim Karo, Zakaat Ada Karo, Ramazaan Ke Roze Rakho Aur Agar Hajje Baitullah Jaane Ka Maal Paas Me Hai To Hajj Karo.

(Muslim, Jild -1, Safa-27)



➤ Islam Ke Farz Arqan 5 Hai (5 Pillars of Islam)

(1) Kalma Padhna.(Shart)
(2) Namaaz Padhna.
(3) Roze Rakhna.
(4) Zakaat Dena. 
(5) Hajj Karna.


(1) Kalma:

Ye Shahaadat (Gawahi) Dena Ke Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ibaadat Ke Laaiq Nahi Aur Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah Ke Rasool Hain.

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

➤Pas Jaan Lijiye Ke Allah Ke Siwa Koi Ma’abood Nahi.
Surah Al-Muhammad, Aayat 19

➤Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah Ke Rasool Hain.
Surah Al-Fath, Aayat 29


(2) Salaat (Namaaz):

Ba-Wuzu Qibla Roo Hokar Niyyat Karke Takbeere Tehrima Ke Baad Tarteeb Se Qayaam, Sana, Tilawate Surah Al-Faatiha Aur Qir’at, Rooku’, Qauma, Sujood, Jalsa, Qa’ada Aur Tashh-Hud Duroode Ibraheem Aur Dua-e-Mashura Ke Baad Salaam Karna.

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
➤Beshak Namaz Mo’mino Par Muqarrar Waqt Ke Hisaab Se Farz Hai.

Surah An-Nisa, Aayat 103


(3) Roza:

Allah Ta’ala Ki Ibadat Ke Liye Niyat Ke Saath Khud Ko Sub-H Saadiq Se Lekar Guroobe Aaftab Tak Khaane Peene Aur Jima’a (Sohbat) Se Roke Rakhna.

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

➤Aye Emaan Walo! Tum Par Roze Farz Kiye Gaye, Jaise Aglo Par Farz Hue The Ke Kahin Tumhe Parhezgari Mile.
Ginti Ke Din.

Surah Al-Baqarah, Aayat 183, 184





जानिये ! इस्लाम में दाढ़ी क्यों रखी जाती है ? (Beard Its Sunnah)




(4) Zakaat:

Allah Ke Liye Apne Maal Ka Utna Hissa Jo Shara’a Me Muqarrar Kiya Gaya Hai Musalman Faqeer (Jarurat mand) Ko Dekar Use Us Maal Ka Maalik Bana Dena.

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! :

➤Aye Emaan Walo! Jo Kuchh Hum(Allah) Ne Tumhe Ata Kiya Hai Uss Me Se (Allah Ki Raah Me Nek Kaam Me) Kharch Karo.


Surah Al-Baqarah, Aayat 254


(5) Hajj :

Allah Ta’ala Ki Ibadat Ke Liye Ehram Ke Sath Niyat Karke Zil Hijja Ke 5 Din Me Ya’ni 8we Chand Se 12we Din Tak Mina Me Qayaam Karke Musalsal Muqarrar Din Ko Muqarrar Waqt Par Muqarrar Maqaam Par Tarteeb Ke Saath Muqarrar Arqan Ya’ni Wuqoofe Arafa, Wuqoofe Muzdalifa, Rami-e-Jimaar, Qurbani, Halaq Ya Takseer, Tawaafe Ziyarat Aur Mabeet (Wuqoofe Mina) Ada Karna.

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

➤Aur Allah Ta’ala Ka Haq Hai Insaan Par Ke Baitullah Ka Hajj Kare Jo Waha Pahunchne Ki Haisiyat Rakhta Ho.


Surah Aale Imraan, Aayat 97




➤Hadees-e-Nabawi: 


Islam Ke Farz Arqan Khaime Ke Sutoono Ki Tarah Hain. Kalma-e-Shahadat Padhna Ye Bich Wala Sutoon Hai Aur Baaqi 4 Arqan 4 Koney Ke Sutoon Hain.

Agar Kisi Khaime Ka Beech Wala Sutoon Sahi Na Ho Tou Wo Qaaim Nahi Reh Sakta Aur Kone Ka Koi Sutoon Sahi Na Ho Tou Khaima Uss Taraf Se Jhuk Jaayega. Aur Agar Kone Ke Chaaro Sutoon Sahi Nahi Tou Khaima Khada Tou Hoga Magar Chaaro Taraf Se Jhuka Hua.

Isi Tarah Bagair Kalma-e-Shahadat Padhe Koi Shakhs Musalman Ho Hi Nahi Sakta Aur Baki 4 Me Se Koi Sahi Nahi Hoga Tou UsKa Deen Us Taraf Se Sahi Nahi Hai. Ya’ni Agar Namaaz Ada Nahi Karta Tou Uske Deen Ka Khaima Uss Taraf Se Khaami Wala Hai Aur Isi Tarah Roza, Zakaat Aur Hajj Ka Bhi Hai. Agar Chaaro Farz Arqan Ada Nahi Karta Tou Wo (Kalma Padhne Se) Musalman Tou Hoga Magar Uske Deen Ka Khaima Mukammal Na Hoga Aur Khaami Wala Hoga.





"Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Deen-e-Haq Par Chalne Ki Taufikq Ata Farmaye ,..
Hume Iske Arqano Par Ikhlas ke Sath Amal Ki Taufiq Ata Farmaye ,..
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…"

Aameen summa Aameen




1 comment:

  1. agr kisi ko apne city ke hissab se Qibla Direction find karna chahte hai to mere website par visit kar sakte hai.

    ReplyDelete