🔸Qawwali Haram Hai Ya Halal Hai ?

Imam Ahmed Raza Khan Sahab Ne Apni Kitabo'n Me Kai Jagah Likha Hai Ki Mazamir Ke Sath Qawwaliya Haram Hai. Isme Qawwali Gaane Vala, Sunne Vala aur Orgnizer (Qawwali karvane Vala) tamami log Gunahgar Hoge.




Waisey Aksar Qawwaliyon Me Bahut Sare Ash'aar Aumrah kun Aur Baaz Me To Sareeh Kufriyat Par Mushtamil Hotey Hain Aur Ye Jahil Qawwal Aur Naam Nihad Sufiyan Unhe Marfat ke Ash'aar Kahte Hain Is liye Jaha Qawwali Music Ke Sath najaiz hai, In umur ki Shamuliyat ki Bina Aur sakht Aihteraz ki zarurat hai umuman Qawwali Ganey wale Juhhal shura hotey hain jinke na hi Ilm ka koi maiyar hota hai na hi Amal is layeq ki wo Buzurgon ki bargah men Qawwali kah saken waise bhi Sama ki sharaite bahut sakht hain bila mazameer bhi har kisi ko sunney ki ijazat nahi

➤Kuch Log Mazamir Ke Sath Qawwali Karne Ko Chistiya Silsile Me Raieez Hone Ka Jhoot Bolkar Ise Halal Aur Jaieez Bana Dete Hai Jab Ki Buzurgane Chistiya Ne Bhi Mazamir Ke Sath Qawwaliya Karne Ko Haram Farmaya Hai. 


Hadees Sharif:

Hamare Aaka Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan Karte Huye Farmaya Ki Qayamat Ke Qareeb Nachne Gaane Waaliyo Aur Baje-Tashon Ki Kastat Ho Jaygi.
[📚 TIRMIZI SHARIF]
[📚 MISHKAT SHARIF, BAAB ASHRATUS-SA'AH, SAFA-470]


➤Sama, Qawwali Aur Raqs Jo Aaj-Kal Ke Naam Nihad Sufiyon Me Raiz Hai Ye Haram Hai Aur Isme Shirkat Jaiz Nahi.

[📚 Fatawa-E-Aalamgiri, Jild-5, Kitabul Karahiyah, Baab-17, Safa-352]


➤KUCH SHARTO KE SATH QAWWALI JAIZ HAI:

Hazrat Nizamuddin Auliya Alayhir-Rahma Ne Chand Sharaito Ke Sath Sama (QAWWALI) Ko Halal Thahraya hai Agar Usme In Sharaito Me Se Ek Sharait Bhi Na Pai Jaye To Us QAWWALI Ko Haram Farmaya Hai.


SHARA'IT:

1) SUNANE WALA MARD KAMIL HO, CHOTA LADKA AUR AURAT NA HO,

2) SUNNE WALA YAAD-E-ILAAHI SE GAFIL NA HO,

3) JO KALAM (SAMA'A ME) PADHA JAYE USME FAHASH, BEHAYAI AUR MAS'KHARGI NA HO,

4) SAMA'A (QAWWALI) SARANGI MAZAMIR AUR RUBAAB SE PAAK HO

[📚SAIRUL AULIYA, BAAB-9, DAR SAMA'A WAJD WA RAQS, SAFA-501]


HAZRAT SAYYADANA NIZAMUDDIN AULIYA Alayhir Rahma KI KHIDMAT ME EK SHAKHS AAYA AUR BATAYA KI FALA JAGAH AAPKE MUREEDO'N NE MAHFILE SAMA'A KI HAI AUR WAHA MAZAMIR (BAJE) BHI THE IS BAAT KO HAZRAT SAYYADANA NIZAMUDDIN AULIYA Alayhir Rahma NE PASAND NAHI FARMAYA AUR FARMAYA KI MAINE MANA KIYA HAI KI MAZAMIR (BAJE) HARAM CHIZE WAHA NAHI HONE CHAHIYE IN LOGO'N NE JO KUCH KIYA ACCHA NAHI KIYA IS BARE ME KAFI ZIKR FARMATE RAHE AUR FARMAYA KI AGAR KOI KISI MAQAM SE GIRE TO SHARA'A ME GIREGA AUR AGAR KOI SHARA'A ME GIRE TO WO KAHA GIREGA.


[📚FAWAIDUL FAWAD, JILD-3, MAJLIS PANJUM, SAFA-512]



SABAK:

➤MUSALMANO'N ZARA SOCHO WO HAZRAT KHAWAJA NIZAMUDDIN AULIYA Rahmatullahi Ta'ala Alayhi KA FATWA HAI JO AAPNE PADHA, IN AQWAL KE HOTE HUYE KYA KOI KAH SAKTA HAI KI  SILSILA-E-CHISHTIYA ME MAZAMIR (BAJE) KE SAATH SAMA'A (QAWWALI) JAYAZ HAI???


HA YE BAAT WAHI LOG KAHEGE JO NA CHISHTI HAI NA QADIRI, UNHE TO MAZEDARIYA'N AUR LUTF ANDOZIYA'N CHAHIYE.

➤KYA ISI KA NAAM ISLAM HAI KI MUSALMAN AURATO'N KO LAKHO'N KE MAJME ME LAKAR UNKE GANE BAJANE KARAYE JAYE PHIR UN TAMASHO KA NAAM URS RAKHA JAYE, KAFIRO'N KE SAMNE MUSALMANO'N AUR MAZHABE ISLAM KO ZALEEL-O-BADNAM KIYA JAYE.


➤AAJ KAL KHANQAHO'N ME KISI KAAM KA HONA USKE JAYAZ HONE KI SHARA'I DALIL NAHI HAI.


"Lehaza Tamaam Conditions Ka Khayal Rakhte Huye Qawwali Padhi Aur Suni Jay To Jaiz Hai Warna Haram Aur Gunah Hai."

No comments