🔸GUSL KE MASAIL:



🔸GUSL KE MASAIL:


Gusl yani napaki door karne ke liye nahane ko kahte hai.

Shariat me iska ek tariqa hai jisme 3 farz hai, agar ek farz bi miss hua tho gusl nahi hoga.

➤ GUSL KE 3 FARZ:


Gusl me 3 farz jisko ada karna zaruri hai.

1) Kulli karna
2) Naak me pani chadana
3)Tamam Badan par pani bahana

(📚Fatwae Alamgiri Jild-1)


1.KULLI KAISE KI JAYE ?


Muh me pani lekar halaq tak lejaye aur muh ke har purze (parts) me pani bahaye, normal kulli karne se gusl nahi hoga.

Is tarah danto ki jad aur bich gap me, halaq ke kinare, zaban ki har karwat me pani jaye, roza na ho tho behtar hai gharara bi karlein.

(📚Khulasatul Fatwa Jild-1)


2.NAAK ME PANI CHADHANA :


Jaldi jaldi naak me pani dalne se kaam nahi chalega, balke naak me pani itni upar tak lejaye ke sakht haddi ki shuru tak pahunche. Naak ke har hisse holes me pani bahaye kyuki zarra barabar bi bina pani gaye rehgaya tho gusl na hua. Agar naak me rint sook gayi tho usko nikale aur waha bi pani bahaye.

Tamam chizo ko 3 bar karna sunnat hai.

(📚Fatwae Alamgiri jild-1)

3.GUSL KA 3rd FARZ TAMAM JISM PE PANI BAHANA:


Sar ke balo se lekar pair ke thalwo tak har zarre zarre parts pe pani bahana farz hai. agar zarra barabar bi bina pani bahe rehgaya tho gusl na hoga. 

✍🏻Important Note:

Jism me baaz jagah aisi hai ke jaha aasaani se pani puri tarah nahi jata, lehaza achi tarah sab jagah pani bahaye jaise thalwe, ungliyo ke bichme, baghal me, pair ke joints me, pindli pe, kaan ke holes me, kaan ke piche, raan pe aur uski golayi par etc..,

(📚Fatwae Alamgiri Jild-1)


🔸GUSL KA COMPLETE TARIQA:


NIYYAT:

⏺Bagair zaban hilaye dil me niyyat kijie ke paaki hasil karne gusl karta/karti hu

NOTE:
Bathroom me Zaban se niyyat karna ya waha koi duae padna mana hai. Dil me niyyat kafi hai.. Ya phir bathroom jane pahle bahar hi muh se niyyat karlein ke paki hasil karne gusl karta hu.

GUSL ME 3 FARZ HAI:


Agar ye 3 farz ada kardiye tho gusl hojayega aur agar ek bi miss hua tho gusl nahi hoga. 

1⃣ KULLI KARNA:

Muh me pani lekar is tarah kulli kare ke muh ke andar ke har hisse tak danto ke beech me pani jaye aur halaq tak lejakar wapas thook dein. Is tarah 3 bar karna sunnat hai.

2⃣ NAAK ME PANI CHADHANA:

Naak me pani dalke har jagah sahi saaf kare ke ek zarri jagah bi bina pani bahaye na rahe aur pani naak ki haddi tak lejakar wapas nikale.. Isey bi 3 bar karna sunnat hai.

3⃣ TAMAM JISM PAR PANI BAHANA:

Sar ke baal se lekar pair ke talwe tak har zarre zarre hisse pe pani bahana ke jism ki har surakh me pani bahe, agar ek bi zarra barabar bi bina pani bahaye rehgaya tho gusl nahi hoga..

"Pahle niche👇🏻 ka ye amal kare uske baad upar ke 3 farz ada kariye asaani hogi..."

⏺Pahle dono hath pahencho tak dhoye aur istenja ki jagah (private parts) ko dhoye chahe najasat lagi ho ya na ho.

🔸Phir jism par kahi najasat lagi ho tho waha dhokar door kijiye.

🔸Phir namaz ki tarah wuzu kijiye. Aur badam pe pani bahaye isme saboon bi lagasakte hai.

🔸Phir 3 bar seedhe kaandhey par pani bhaye, phir 3 bar ultey kaandhey par pani bahaye, uske baad sar par aur tamam badan par 3 bar pani bahaye.

(📚Fatwae Alamgiri jild-1)


➤GUSL KE KUCH ZARURI EHTIYAAT (PRECAUTIONS):

1⃣ agar mard sar ke baal ghundhey hue ho tho unhe kholkar balo ke jad tak pani lejana farz hai, Thodi si jagah bi bina pani bahe rehgayi tho gusl na hoga.

Aurat sirf jad thar(kachcha) karlena kafi hai, kholna zaruri nahi.. Ha chonti itni sakht ghundhi ke jad thar na hoga tho kholna zaruri hai.

2⃣ Agar kaan me baali ho, naak me surak hai aur wo band nahi hai tho wo jagah bi pani bahana farz hai.

3⃣ kaan ka har purza, uske surakh ka muh dhoye

4⃣ kano ke peeche ke baal hatakar pani bahaye, thuddi aur galey ko utakar waha bi pani bahaye kyuki ek zarra bi bina pani gaye rehgaya tho gusl nahi hoga.

5⃣ baghlo ko achi tarah dhoye, naaf me pani bahaye ya ungli dalke dhoye, peet ko achi tarah dhoye ke koi hissa bina pani bahe na rahjaye.

6⃣ Raan ka hissa aur naaf ke neeche ka hissa achi tarah dhoye.

7⃣ Pistan ko utakar achi tarah dhoye, pistan aur peet ki lakhir ko dhoye.. Aurat apni sharmgah ko achi tarah dhoye ke andar aur upar ke hissa me pani bahe. Agar haiz se farigh hue tho ek kapde se andar ka khoon saaf karle aur pani bahaye. 

8⃣ Nail polish hai tho uska nikaalna zaruri hai warna gusl nahi hoga, mahendi hai tho harj nahi.

📚BAHARE SHARIAT Hissa-2)


🔸Aurat Jab haiz se farig hojaye tho uspar gusl farz hojata hai.

(📚Fatwae Alamgiri jild-1)


🔸Nifaas se farig hue baad bi gusl farz hojata hai.

NIFAAS:

🔸Bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai usey Nifaas kahte hai, aur iski ziada se ziada muddat(time period) 40 din hai.

🔸Agar 40 din complete hone se pahle hi khoon aana band hogaya tho ab gusl karke namaz shuru karna hoga.

(📚Fatwae Razviya jild-4)


➤Ek Ghalat Fehmi Ki Islah:

Aksar Aurto me mashoor hai ke bachcha paida hone ke baad se Aurat 40 din tak laazmi taur par napaak rahti hai ye Ghalat hai.. 40 din tak khoon aaya tho hi napaak rahegi aur agar khoon aana band hogaya tho ab gusl karlein aur namaz ada kare..

Example:
🔸Nifas ki kam az kam muddat 40 din hai, agar kisi lady ko 10,15 din me hi khoon ana band hojaye tho ab wo gusl karke namaz padsakti hai. Ab phir 1,2 din ya 40 din ke andar khoon phir se aaya tho ab napak hai aur pichle tamam din ab nifaas ke maane jayenge.. Aur pichli tamam namaze ab count nahi ki jayegi.

(📚Akhaz: Fatwae Razviya jild-4)


EK GHUSL ME MUQTALIF NIYYATEIN:

🔸Jispar kai ghusl ho jaise ke ehtelam bi hua ho, Eid ka din ka ghusl ho, Juma ka din bi ho tho teeno ki niyyatein karke ek ghusl karliya tho sab ada hogaye aur sabka sawab milega.

(📚Durre Mukhtar jild-1)


➤BUCKET SE NAHATE WAQT KI EHTIYAAT:

🔸Agar Baalti (bucket) ke zariye ghusl kar rahe ho tho behtar hai bucket ko ek stool par rakhe ke usme chintey na girey, aur ghusl me istemal karne wala Mug bi niche na rakhe.

(📚Masaile shariat)

No comments