🔸Gumbad E Khizra Mubarak ke upar Khidki (Window) Ki Haqiqat



Aaqa E Madni Tajdar Rasool e akram Swallallahualaihiwasallam ke Noorani shenshahi Gumbad E Khizra Mubarak ke upar ek Khidki (Window) Mojood hai, uski kya haqiqat hai vo ku or kab banayi gyi...


Madina Munavwara May Ek Bar Sukha Padgaya! Baarish Hoti Hi Na Thi! Log Ummul-Momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Ki Khidmat May Faryaad Leker Haazir Hue! 

Hazrat Ummul-Momineen Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Ne Farmaya :

               
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Qabr-A-Anwar Per Se Chath May Ek Suraakh Kerdo, Taaki Aasmaan Aur Qabr-A-Anwar May Koi Hijaab Na Rahe!
Chunanche, Logon Ne Aisa Hi Kiya To Is Qadr Baarish Hui Ki Khetiyaan Hari-Bhari Hogayi Aur Jaanwar Mote Hogaye! Muhaddiseen Likhte Hain Ki Aasmaan Ne Jab Qabr-A-Anwar Ko Dekha To Ro Pada Tha!

-Mishkaat Sharif, Pg-527
-Daarmi, Sunan, Baab 15, Hadees No. 92
-Khatib Tabrezi, Mishakatul Masabeeh #5950
-Ibnul Jauzi, al-Wafa be Ahwalal Mustafa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
-Taqi ud din Subki, Shafa us Saqam
-Qustulaani, al-Mawahib al-Ladunya
-Imam Zurqaani.
- Kitab Wafa ul Wafa, Jild:2 Safa 569



SABAK

***
➤ Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Gumbad e Khizra 12vi ya 13vi sadiyo valo ne nahi balki pahli sadiyo ne banaya jisme Sahaba e kiram bhi mojud the or Hazrat Aishah bhi mojud rahi lihaza Mazar shareef ke upar Gumbad bnana jayaz hai

➤ Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Faiz Pak Visaal Sharif Ke Baad Bhi Ba-Dastur Jari Hain!

➤ Huzoor Ki Qabr-A-Anwar Ki Ziyarat Se Har Aankh Aasuoan Ke Phool Barsane Lagti Hain!

➤ Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH Se Kuch Pane Keliye Huzoor Ka Wasila Zaruri Hain!

1 comment:

  1. Hazrat is Khirki ko kaha kya jata hai? Name kya hai is khirki ka?

    ReplyDelete