🔸BIWI KA APNE NAAM KE SATH SHOHAR KA NAAM LAGANA JAIZ HAI:


➤Pura padiye aur grammar ko samjiye..

Ek hadees ko bina samje kai log frwd kar rahe hai ke Shohar ka naam apne sath lagana haram hai, jabke wo hadees nasab(Ancestor) badalne par hai, kyuki wo waqt me Arab wale bade qabilo pe naaz karte the tho apne baap ka naam yani nasab badalkar dusro ki taraf mansoob karte the, jaise koi Syed na hokar khudko Syed kahe,ye haram hai,Shohar ke naam se aurat ka baap kaha badalraha? Nasab badalte waqt islam me BINTE (in english D/O Daughter of) likhte hai yani ye lafz kahta hai ke kiski beti hai, aap khud gaur kariye biwi shohar ke naam lagate waqt bichme "BINTE" kaha istemal ki? Tho isme nasab kaha badla?

GRAMMAR:

Kisika naam shaheen hai aur walidh ka naam Abdullah hai aur shohar ka naam Ahmed hai tho dekhie likhne ka tariqa👇🏻

1⃣ Walidh ke sath likhegi tho BINTE word Zaruri hai:

Shaheen Binte Abdullah likhna hota hai, BINTE se hi nasab hai. aur English me Shaheen D/o Abdullah.

2⃣ Shohar ke sath likhegi tho ❗ BINTE❗ word nahi:

Shaheen Ahmed,dekhie isme biwi miya ke naam ke bich lafz BINTE nahi jisse pata chala yaha nasab ka zikr bi nahi horaha, kyuki hota tho BINTE lagana zaruri tha.

🤔Ab upar wale tamam chizo ko hadees se samjiye ke yaha sirf aur sirf dusre ko apna Baap na kahne pe kaha gaya...


📗HADEES 1:

📖Hzt ibne Abbas razi ALLAHU anhu se riwayat hai jisne apne apko kisi dusre ko apna baap mansoob kiya tho uspar lanat hai.

(📚Ibne Maja 2609)


📗HADEES 2:

📖koi shaks apne baap ke alawa kisiko apna baap maana tho kufr kiya, jisne aise qaum ka dawa kiya ke us qaum se halake wo unme se nahi tho apna tikana jahannum samjhe.

(📚 Sahih Bukhari 3508)


 Ye sab ilm ki kami aur grammar na janne ki wajah se aise msg loga frwd karre..

 🙏🏻Plz Ulama se bina puche koi bi msg par bharosa mat karo.

ALLAH kare hamari baat dil me utar jaye.. Ameen

No comments