🔸BE PARDA AURAT PAR ALLAAH TA'AALA KA SAKHT AZAAB




▶Unn Auraton Par Jahannam Me Sakht Kode Mare Jayenge Jo Kapda Pehne Huye Bhi Barhana (Khula Jism) Nazar Aati Hain.

📗(Muslim Sharif)


▶Mas’Ala :


Aise Barik Kapde Ka Paijamah Jis Se Raan Ya Sitr Ka Koi Hissa Chamakta Ho Uss Kapde Ko Pehn’na Haraam Hai.

📕(Bahare Shariat)

                                       ➖➖➖➖➖➖

Sabak :


Lihaza Aurten Aise Kapdon Se Parhez Karo Jis Se Jism Ka Ek Bhi Hissa Nazar Aane Lage. Aur Jis Se Namehram Ki Nazar Maayil(Attract) Hone Lage.

▶Hadis :


Nabi-e-Karim (Sallallaahu Alaiyhe Wa Sallam) Ne Irshaad Farmaaya –

"Allaah Ta'ala Ki La'nat Bad-Nigaahi Karne Waale Par Aur Jiski Taraf Bad Nigaahi Ki Jaaye”.

📚(Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2,Safa : 77)
                                     
                                         ➖➖➖➖➖➖➖

▶Hazrat Isaa (Alayhees Salaam) Farmaate Hain:

 “Jis Kisine Buri Khwahish Se Kisi Aurat Par Nazar Daali Wo Apne Dil Me Hi Uske Sath Zinaa Kar Chuka Hota Hai”.

▶Hadis :


Jo Kisi Aurat Ki Khubiyaan Dekh Kar Nigaah Jhuka De Allaah Ta’ala Usko Aesi Ibaadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lazzat Wo Apne Dil Me Mehsus Karega.

 📘(Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)
                                      
                                    ➖➖➖➖➖➖➖

▶Mef'hum-e-Hadis : RasuluAllaah (Sallallaahu Ta'ala Alaiyhe Wa Sallam) Farmate Hain Ke,

“Allaah Ta’ala Tab Taq Unn Baaligh Aurton Ki Dua Qubool Nahi Karta, Jab Taq Wo Hijab (Parda) Ekhtiyaar Na Karle”.

📙(Abu Dawud, Book No. 2, Hadis-641)

                                     ➖➖➖➖➖➖➖

Har Haal Me Parda ….


▶ Hiqayat :

Hazrate Syyedatuna Umme Khalid (Radiy Allaahu Ta'aala Anhaa) Ka Beta Jang Me Shahid Ho Gaya. Aap Inke Baare Me Malumaat Haasil Karne Ke Liye Naqaab Daale Baa Parda Baargaah-e Risaalat (Sallallaahu Ta'aala Alaiyhe Wa Sallam) Me Haazir Huyeen,

Iss Par Kisi Ne Hairat Se Kaha, “Is Waqt Bhi Aap Ne Naqaab Daal Rakha Hai???”

Kehne Lage,

“Mai Ne Beta Zarur Khoya Hai, Magar Hayaa Nahin Khoyi”.

📗(Sunan Abi Dawood V3 P#09, H#2488)

                                       ➖➖➖➖➖➖➖


Imandar Aurton Per Badkari Ki Tohmat NaLagao :


▶Al-Qur'aan :

“Jo Log Parhezgaar aur Burey Kamo Se Be Khabar Aur Emaandaar Aurton Per Badkari Ki Tohmat Lagate Hain, Unn Per Duniya aur Akhirat (Dono) Me Lanat Hai. aur Unn Ko Sakht Azaab Hoga”.

📗(Surah An-Noor : Ayat-23)


🔸APNE JISM KI NUMAISH KI SAZA:

📖HADEES:

Hzt Abu Huraira raziALLAHU anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:

Dozaqiyo ki 2 jamate aisi hongi jinhe maine (apne is ahd-e-mubarak me) nahi dekha (yani aaindah paida hone wali hai,inme) ek wo qaum jinke sath Gaye ki dum ki tarah korray honge jinse logo ko marenge aur (dusri qism) un aurto ki hai jo pahankar nangi hongi dusro ko (apni taraf) mayil karne wali aur mayil hone wali hongi, inke sar bakhti ounto ki ek taraf jhuki hui kahano ki tarah honge, Wo jannat me dakhil na hogi aur na uski khushbu payengi halanke iski khushbu itni itni door se pai jayengi.

(📚Muslim Hadees-125)

Aisa tang(tight) libas ya burqa hargiz na pahene jisse jism ki hararat mehsus ho..


2 comments:

  1. Allah kis qaum ki aurton ki dua qubul nhi krta

    ReplyDelete
  2. Jo sageera gunah krti hn
    Ya jo payal phnti hn
    Ya fir maa baap ki nafrmani krti hn
    Ya zkat ada nhi krti ?

    ReplyDelete