🔸3 din se jiyada momin bhai se narazgi
➤Hadith:
3 din se jiyada kisi musalman bhai se naraaz rahna haram haiHazrat anas bin malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya ki mat bugz (nafrat) rakho ek dusrey se, mat hasad karo ek dusrey se, mat dushmani karo ek dusrey se, aur raho Alah ke bando ! Bhaiyon ki tarah aur ye Halal nahi kisi musalman ko ki chor de apney bhai ki mulaqat 3 din se jiyada
Sahih Muslim , Neki Suluq aur Adab ke masayeel (6526) English Ref Sahih Muslim Book 032, Number 6205: )
➤Hadith:
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –“Kisi Musalman Ke Liye Ye Halaal Nahi Ke Wo Apne Bhai Se Tin (3) Din Se Zyada Taaluqaat Munqtta (Jhagra) Rakhe. Dono Samne Aa Jayen Tou Ye Uss Se Aur Wo Iss Se Muu Phair Le Aur Inn Dono Me Se Behter Wo Hai Jo Salaam Karne Me Pehal Kare”
(Muttafiq Alehe)Sahee Bukhari & Sahee Muslim
➤Hadith:
Koi Musalman Kisi Musalman Se 3 Roz Se Jyada Ki Narazgi Me Mar Gaya Tou Jahannam Me Jayega.(Sunan Abu Dawood V:3, H-1482)
➤Hadith:
Koi Musalman Kisi Musalman Bhai Se 1 Saal Tak Naraaz Rahe Tou Woh Uss Ka Khun Karney Waley Jaisa Hai.(Sunan Abudawud V:3, H-1483)
➤Hadith:
Jo Musalmaan Apne Deeni Bhai Ko Ek Saal Tak Chhede (Pareshan Kare), Tou Ye Itna Bada Gunaah Hai, Goya Usne Uska Khoon Baha Diya.(Abu Dawood 4:364, H-4915)
Beshak Momin Se Bughz na rakha jaye ... lekin ghustaqe Sahaba / shariat ka anjam neeche waali hadees me dekhen
حَدَّثَنَا الْفَضْلُ بْنُ أَبِي طَالِبٍ الْبَغْدَادِيُّ، وَغَيْرُ وَاحِدٍ، قَالُوا: حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ زُفَرَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ زِيَادٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَجْلَانَ، عَنْ أَبِي الزُّبَيْرِ، عَنْ جَابِرٍ، قَالَ: أُتِيَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِجَنَازَةِ رَجُلٍ لِيُصَلِّيَ عَلَيْهِ فَلَمْ يُصَلِّ عَلَيْهِ، فَقِيلَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا رَأَيْنَاكَ تَرَكْتَ الصَّلَاةَ عَلَى أَحَدٍ قَبْلَ هَذَا ؟ قَالَ: إِنَّهُ كَانَ يَبْغَضُ عُثْمَانَ فَأَبْغَضَهُ اللَّهُ.
🔸NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Khidmat e aqdas me ek shakhs ka janaza laya gaya ke aap iski namaz e janaza padhayen, to aapne uski namaz e janaza nahi padhayi,
Sahaba Ekram ne arz kiya?
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aapko is se pehle kisi ki namaz e janaza tark farmate hue nahi dekha to,
HUZOOR Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya:
Ye shakhs Usman (RadhiAllahu Ta'ala anhu) se bugz rakhta tha to ALLAH TAALA ne usko sakht napasand farmaya hai.
📚 Jame Tirmizi, Hadith no:3709
Post a Comment